Suna Hoga Bohat Tumne
Kahin Aankho Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkon KI Shabnam ka
Perha Hoga Bohat Tumne
Kahin Lehje Ki Barish Ka
Kahin Sagar k Ansoo Ka
Magar Tumne Kabhi Humdam
Kahin Dekhy?
Kahin Perhy?
Kisi Tehreer K Aansoo?
Mujhe Teri Judai Ne
Ye Meraj Bekhsi Hai
K Mein Jo
lai Badal barsa K Chale Jana
Furqat Ki Aziyat Mein
Kuch Saber B lazim Hai
Ye Baat mere Dil ko
Samjha K Chale Jana
Kaanch ko chaahat thi patthar ko pane ki,
ik baar phir tutkar bikhar jane ki,
bas itni si chahat thi us diwane ki,
apn tukdo me uski tasveer sajane ki.
Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Dil Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail Dekhna Chahta Hai Ab Laut Aao Kay Aik Bar Phir Meri Palkien Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker Jhukna Chahti Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meray Qadam Tumharey Qadmon Kay Saath Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Wajood Tumharey Ishq Ki Aag Main Jalna Chahta Hai Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meri Zindagi Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker Khud Ko Jeena Chahti Hai