chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
Is Hasrat Se Mila Kya Mujhko
Ik Jhalak Mere Dildaar Ki
Is Muhabbat Se Mila Kya Mujhko
Bechaini-O-Beqarari Yaar Ki,
Is Ashiqui Se Mila Kya Mujhko
Ik Sunahari Raah Ishq Ki,
Aur Tere Pyaar Se Mila Kya Mujhko
Ik Raah Jeene Ki Hamvaar Si.
Aye Khuda Meri Ibadat Meri Dua Qabul Karna
Mera Sapna Meri Chahat Ko Sach Karna
Wo Jise Manga Hai Main Ne Tujh Se
Usse Hamesha Abad Rakhna
Agar Ho Koi Khata Uss Se
Tou Mujhe Dena Saza Uss Ki
Na Aiy Koi Ghum Zindagi Main Uss Ki
Har Lamha Bass Yahi Dua Hai Meri
Agar Ho Sakay Tou Mujh Par Aik Karam Karna