NISHANI BAN KAR

NISHANI BAN KAR
Woh Mil Jatey Hain Kahani Bankar
Dil Mein Bas Jatey Hain Nishani Bankar
Jinhe Hum Rakhte Hain Apni Aakhon Mein
Kyun Nikal Jatey Hain Wo Pani Bankar
Khayaalo Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai
Nigaahon Ko Teri Talaash Rehti Hai
Tere Bina Koi Kami Nahi Lekin
Tere Bagarr Tabiyat Udaas Rehti Hai
  

Dec, 09 2011     296 chars (2 sms)     3573 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

chalo aj tum ko aik talak haqeeqat b bata daytay hain
jis ko aksar yah log dilo ma chuhpa laytay hain

tunay aksar irtay huay pato ko dakha ho ga
apni her sans wo tahni per ganwa daytay hain
kitna khuub sajatay hain baharo ma shajar ko
or khari dhoop ma apna app jala daytay hain
kitnay bayraham shajar hain nayee pato ki khusi ma
puranay patoo ko khiza ma geera daytay hain
hum nay b dakain hain iss jahan ma kahyee
jin ko un paton ki terha log dagha daytay hain
Rakhtay Hain Jo Auron Ke Liye Pyaar Ka Jazba
.
.
.
.
.
.
Wo Log Kabhi Toot Ke Bikra Nahi Kartay !
Aziyyat , maseebat , mlamat , balaein
Tere ishq mein hum ne kia kia na dekha
Hua Jo Gam Apko Dard Kisi Aur Ko Hoga,

Haso Jo Aap To Khush Koi Aur Hoga,

Socho To Zara Us Insan K Bare Me,

Wo Akhir Mere Siwa Aur Kaun Hoga
Meray Dil mein Hai kashmakash mujhe sochna mahaal Hai.




Tujhe ik haan se Guraiz Hai, meri zindagi ka sawal Hai.
Tu nay dekhi hai wo peshani,wo rukhsar, wo hont . . .

Yeh Zindagi Jis K Tas-u-war Wai Luta Di Hum Nay . . .
Phir kahain Dour sey ik baar sada do mujh ko,
meri tanhai ka ehsas dila do mujh ko
.
tum tou aftab ho tumhey meri zarorat kya hai,
main diya hoon kisi chokhat pey jala do mujh ko
Pyar nhi likha tha kismat me
to usne pyar kyu karwa diya.
Shayad tadpte hue dekhna chahte the wo kisi ko,
jiske liye usne hume mohra bana diya.
main bhi mohabt ko manya tha eid ki terha"AMI"

ek chand nikla tha mare shahr mia bhi nigahon se ojal ho kar..
Agar Mohabbat Py Bharosa Rahey Na Dunya Mein

Tou Koi Shakhs Mohabbat Ka Hosla Na Karey

Suna Hai Uss Ko Muhabbat Duaei''n Deti Hai

Jo Dil Py Chott Tou Khaye Magar Gila Na Karey
majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka
Surkh gulab ke sare mausam ter naam

Har subha ka pehla hjala tere naam

Teri yaad ka Beehta darya mary liye

Behti jheel main pholl kANWAL ka tere naam

Jitnay Khawab Khuda ney mary naam likhay

Un khawabon ka lambha lambha tere naam

Teer bina jo umer beet gai

Ab es umer ka baqi hissa tere naam