teri wapsi ki rahain...

teri wapsi ki rahain...
Wohi muntazir negahain
wohi sham-e-gham ka manzar...
main azal sy dhoond raha hun
teri wapsi ki rahain...
  

Jan, 13 2012     105 chars (1 sms)     8175 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
bebassi se uski aankhon main bi aansoo aa gaye.

jab mujhe wo judai ka mashwara dainay laga.
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee ...
Lagtaa nahii hai dil meraa ujRe dayaar mein,
kiss kii banii hai aalame-naapaaidaar meiN,
umr-e-daraaz maaNg ke laaye the chaar din,
do aarzuu meiN kaT gaye do intezaar meiN,
kah do in hasratoN se kahiiN aur jaa baein,
itnii jagah kahaaN hai dil-e-daaghdaar meiN,
kitnaa hai badnaseeb zafar dafan ke liye,
do gaz zamiin bhii naa milii kue-yaar meiN.
Woh Ek Hi Nazar Ki Junbash Sey Sub Dil Ki Bastti Loot Gia
Woh Jis Sey Ankhiay Char Hoin Aur Hath Sey Saghar Choot Gia

Dil Us Ka Bhi Hey Aur Mera Bhi Farq Sirf Itna Hai Sahar
Woh Pathar Tha Jo Dabit Raha Aur Yeh Shesha Tha Jo Toot Gia
ya tera zikr kare her shakhs mujh se.

ya koi hum se guftago na kare koi.
Wo Waqt Bhi Dekha Hai Tareeq Ki Ghadiyo''n Ne

Jab Lamhon Ne Khata Ki Aur Sadiyon Ne Saza Payi Hai
Jubb say tum nay hay moonh hum se moorh liya
lugta hay qudrat nay b hay jaysay nata toorh liya

mayree neend ko jaysay neendh see hay aa gaie
ankhain hain pathaar ki ansooyoon nay moonh morr liya

tumhain kuch na likhain gay tum say kuch na kaheen gay
yay waada to kyaa hum nay khudd ko be toorh liya

tum nay kubhi hum ko ashna sumjaa hi nahee
husratoon kay shaher may khamooshi say nata joorh liya
Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz,



Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra..!!
kaise mien maan loon k koi mera nahi raha...

jab tak khuda ki zaat hai,tanha nahi hoon main.
Koi ehsaas bhi usko yaad nahy
Koi baat bhi usko yaad nahy,
Ek shaksh ny usko chaha tha,
Wo zaat bhi usko yaad nahy,

Jab shab ki bijli chamki thi,
Aur badal toot k barsa tha,
Hum dono jis may bheegay thay,
Wo barsat bhe usko yaad nahy,

Wo sahil,darya, phool,hawa,
Wo wada sath nibhanay ka,
Aur shab bhar CHAND ko dekha tha,
Wo raat bhe usko yaad nahy,

Wo kehta tha may sunti the,
May kehti thi wo sunta tha,
Un lakhoon baton may koi,
Ek baat bhe usko yaad nahy.
Apno se juda ho kar, kaun zinda rahta hai,
Sanse chalti hain magar dil,
Hamesha zindagi se khafa rahta hai,
Jo dil mein ho wo dost,
Durr ho kar bhi kareeb hote hain,
Mere yaar insaan umeedon par hi zinda rahta hai.