Sweet Ghazal

Sweet Ghazal
Urooj par hai Tumhara Mosam,

Khizaan main Tum ko Khareed lengay,

Bano gay Hum say Reham K Talib,

Na Tumko Mohlat Mazeed dengay,

Adaa K Qissay hwy Purany,

Jafa ka Mousam Khatam hi samjho,

Karengy Tum say Hisaab jana,

Na Tum ko Mohlat Mazeed dengay,

Wafa ki Lalach main Hum nay Jana,

Khoon apna JALA diya hai,

Faraib-o-Masti K Badlay Tum ko

Saza bhi Sun lo Shadeed dengay,

Urooj par hay Tumhara Mousam,

Khizaan main Tum ko khareed lengay.
.
=> Tanveer Z. .
  

Jan, 20 2012     495 chars (4 sms)     53586 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Soch Samjh Lena Qadam Uthanay Se PEhlay

Kahi Kho Na Jao Manzil Anay Se Pehle

Mukhliss Dost Se Marhoom Na Ho Jao Kahi

Yeh Soch Lene Usay Azmanay Se Pehle

Tumharay Siny Me B Darkhta Hai Ek Dil

ye Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhanay Se Pehle

Umar Br Kon Kisi K Liye Rota Ha

Log Sirf Rotay Hain DAFNANAY Se Pehlay
tum ho nazuk se ik tetly

aur main hon tery pyar main jalta hova parvana
BY ASIM ALI SHAM''
wo mujh say poch raha tha batao kaisa laga...
tm aglay zakhm choro ye ghao kaisa laga...

ajab sawal kiya andhiyon nay pat''ton say...
shajar say tot k girna kesa laga...

is ko choro zara apnay dil say ye pocho...
kaha jo us nay mujhay bhool jao kesa laga...
Nighahain bolti hain Betahasha

mohabat paglon ki guftgu hai.
Sari Haqeqaton Ko Khuwab Kar Kay
Umar Bhar Ki Khushiyoun Ko Sarab Kar Kay
Badal Gaya Hai Woh Chahaton Say
Meri Aadaton Ko Kharab Kar Kay
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa
FARAZ
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain
Wabasta Meri Yad say Kuch Talkhian Bhi Thi..
Acha Kiya Jo Mujh Ko Faramosh Kar Diya..!
Aadmi esa dekha nahi hai,
Jiske chehre pe chehra nahi hai.

Kuchh kami mere chehre me hogi,
Aina koi jhoota nahi hai.

Kesi pathra gaee hain nigahen,
Tumko jis din se dekha nahin hai.

Kitne be khof hain ye parinde,
Inko mazhab ka khatra nahi hai.

Mil ke bichhde ho jis din se mujhse,
Mere ghar main ujala nahi hai.

Mot ka to bharosa hai lekin,
Zindgi ka bharosa nahi hai.

yun na khelo mere dil se `kausar''
Mera dil to khilona nahi hai.
Har nazar ko ek nigah ka haq hain,
har raah ko ek aah ka haq hain.
hum bhi dil le kar aye hain duniya main,
hume bhi ek gunah ka haq hain..
Chaahat dil mein hai pyaar aankhoon mein ,
Mohabbat hum mein hai aur tum hamare dhadkan mein.
Her Su Raqabton Ka Dehekta Alao Tha
Uss Shehar-E-Dostan mein Ghazb Ka Tanao Tha
Phir Youn Hua K Uski Aana Usko Kha Giye
Werna Uss Aadmi mein Bara rekh rakhao Tha
Aaj Phir Aapki Yaad Ayee Barish Dekh Kar Main Reh Na Sakii Apni Bebasi Dekh Kar

Royee Apki Yaad Main Itna K Baish Bhi Tham Gaye Meri Barish Dekh Kar