main yeh nahi kehta
key koi dil main na samaye
main yeh nahi kehta
key koi Aarzoo na ban paye
par.......! itna zaroor kehna hai
agar samajh sako
key dil main kabhi kisi ko
itni jagha na do
key dil key liye dharakna hi
mushkil ho jaye
Tujh ko khabar nhi
tujhe yaad karty hain yar pal
tujhe he apne khayalon main
tashkeel kerty hain...
tere he khawab bunte hain...
zindagi ki safar main
tujhe he apna humsafar mante hain
inn Un dekhi Rahon main tuhge he
meherban paate hain
kia tujhe nhi malom ?
keh tum he meri Zindagi ho... !!!