yaad ker k wo mare payar ko rota ho ga.
chand jub mare angan mai uterta ho ga.
yonhi murja gaye hon ge mahkte gajre.
jaane wala lout ker na aya ho ga.
jo naam leta tha mera douaon ki terha.
sochta hon kis terha bhola ho ga.
chand her gahar main ho ga mager es k sabab.
hans perda ho ga koi ro perda ho ga.
jub mare hath thy roti hovi num ankhon per.
us ne jate howe murd ker dekha ho ga.
Kyun itne kareeb chala ata hai koi,
Kyun Mohabbat ka ehsaas dila jata hai koi,
Jab aadat si hojati hai dil ko uski,
Toh Kyun itni duur chala jata hai koi
Chhoti si ghalat fehmi.kar de gee Juda hum ko.Halaat na badlein gey....Maaloom na tha hum ko.Rishton ki humein itni Pehchaan na thi pehley.Kehney ko maraasim tou apney thay buhut gehrey.Aansoo ke siwa laiken , kuch bhi na mila hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.Uthtey huey Qadmon mein Zanjeer si par jaati.Ahsaas -e-Nidaamat se dehleez pe gar jaati.Aik baar Mohabbat se detey jo sada hum ko.Halaat na badlein gey, Maaloom na tha hum ko.
Waqt guzra tu yah malaal howa.
Khatam ak zindagi ka saal howa.
Kitne shiddat say koee yaad aya.
Aaj jeena bara mahaal howa.
Soch ke jheel main gira pathar.
Be sabab mustashirkhyaal howa.
Lo dekhay bohat magar jana.
Koe teri kaha misaal howa.