phool sitare dariya un

phool sitare dariya un
phool sitare dariya un aakhoN ke naam,
humne likhyeN hai kya kya un aankhoN naam...

jin aankhoN ne meri nindeN chhinii hai,
mera her ek sapna un aankhoN ke naam...

kuch bhi kaho lagta hai jaise baat adhuri ho,
sher kahe hai kya kya un aankhoN ke naam...

aaj se unke sare bandhaN mere hai,
aaj se har ek rishta un aankhoN ke naam...
  

Jun, 05 2010     345 chars (3 sms)     2992 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Kehta Tha

Suno!

Mohabbaton Main Duuriya''''n

Mohabbton KoAur Mazboot Bana Deti Hyn

Lekin

Usay Shayad Khabar Nahi Hy

K Faasley

Dilo''''n Per Baney Naqsh Bhi Tou

Dhundla Detey Hyn .... !!!
tujh say woh kuch paya
jo kuch main nay chaha
sukh kay pal
chahat ki gharyan
etebar kay rutbay
hum sa maghrur kiya tou nay kabhi dekha hai ?
logun nay tou jhooti nabuwat ka dawah kiya
Hum sa khuda !!!!
khudai ka dawa kerta hae
dekh jannah !
teri muhabbat main
hum kitnay maghrur howay
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
ae khuda agar teri kalam mein dum hai to ye farmaan likh de,
har gum door ho mere dost ka,
har khushi uske naam likh de,
us khushi ko dene ke liye agar kisi ki maut chahiye,
to us maut par mera naam likh de....
American: hamaray haan dogs bomb dhoondh letay hain Japanese: hamaray haan to fish ball se khelti hai Pakistani: hamaray haan to bandar bhi sms parh leta hai
Dil Ki Masoom Ragai''n Toot''ti Hain

Yaad Itna Bhi Na Aaye Koi
Merey pass sey guzer gaya,

is ney daikha bhi nahe,

tum chahat ki bat kartey ho woh to bolo bhi nahe,

hum bara maan kartey thai isey jan samajhtey thai,

durr sey guzar gaya hamari taraf ik kadam chala bhi nahe ,

kya ab kabhi tu karey ga kisi ghair par bharosa

FawaD woh bhi to daita tha kasmey jis ney pucha haal tak nahe
Rasm-e-Ulfat hi ijazat nhi daiti warna

hum bhi aisa tumhain bhoolain k sada yaad karo.
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
mujhy maloom hai mera mukaddar tum nai lekin,

meri takdeer se chhup kar marey ek baar ho jao
hamain khud apnay tajasus se hain gilay kia kia



woh baat us main nai thi jo us ke naam main thee
dilon ki emaraton mein kahein bandagi nahi...!

Eeinton ki masjidon mein "KHUDA" dhoondtay hain log..!