kar kar k MinTain uski

kar kar k MinTain uski
kar kar k MinTain uski



Adat Bigaar di


DanistA hum ne us ko


sitamGar Bana Dia.
  

Jun, 03 2010     95 chars (1 sms)     2178 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aesa Nahi K Shaks Acha Nahi Hai Wo
Jesa MEin Ne Socha Tha Wesa NAhi Hai Wo
Takhleeq Aasamaan Pe Wo MEre Liye Hua Hai
Mana K Iss Zameen Pe Wo MEra Nahi HAi WO
main ne kaha k mujhy chor do ya tor do...

wo be-wafa hans k boli:

itnay naayaab khilonay roz kahan milty hain...
taqseem-E-Mohabbat Mein Kuch Gham Hee Mile
Phir B Shikayat Hai K Dukh Kam Hee Mile
Ae Zindagi Ek Baat Bata Zara Humy
Kia Dil Dukhane K Liye Tujhe Ham Hee Mile
Ek ladki chali jaa rahi thi,
Ek ladke ne awaz di,
O deewani sun!
Tera dupata zamin say,
ghaseeta jaa raha hai,
Ladki boli O deewane
Tou kya jaane?
Yeh bhi apna farz nibha raha hai,
koi choom na lay,
Mere qadmoon ki mitti ko.....
Isi liye nishan mittata jaraha hai..

Karo jo bhi sitam hum gila nahi karte,

khizan mai KABHI phol khila NAHI karte:)

mila do khak mai hum ko magar Itna yad rakhna.

Hum Jaise log roz mila NAHI karte
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t
Meri umer bhar ki shairi...

bus ek shakhs k gird..
Palat K Aaoge Tum Intizar Kerta Hoon
Qasam Khuda Ki Tumhain Ab Bhi Pyaar Kerta Hoon
Main Janta Hoon k Ye Sirf Karb Deti Hy
Main Chahato''n Pe Magar Aitbaar Kerta Hoon
Kbhio Jo Chaand Utarta Hy Dil K Aangan Main
Main Sochta Hoon Tumhain Aur Beqarar Hota Hoon
Hawa Ko Choom K Bheja Hy Us Nagar Ki Taraf
Main Khud Ko Yun Bhi Beqara Kerta Hoon
Wo Wada Kerti Hy Ker k Mukar Jati Hy
Yaqeen Us Ka Magar Bar Bar Krta Hoon
Khlenge Phool Kabhi Wafao''n K
Khizaye''n Bhi Hon Tou Umeed-e-Bahar Kerta Hoon ....
Mere ander saans lena chor de

Ae udaasi! Mera peecha chor de

Chaand kya aangan main utra hai kabhi!

Sun meri jaan yeh tamanna chor de

Tu kabhi sookhe hue patto pe likh !

Sabz shaakhon ka qaseeda chor de
''Milny Aaey ho Chhorny K Liye...

''Ais Tkaluf ki
Kia Zrurt Thi !!
Khirki, chand, kitab aur main,
Mudat se ik baab aur main,
Shab bhar khailen apas me,
Do ankhain ik khwab aur main,
Mouj aur kashti sahil per,
Dariya me gardaab aur main,
Sham, udaasi, khamoshi,
Kuch kanker talaab aur main,
Har shab pakrey jaty hen "
Gehri neend, tery khwab aur main....!!
Wo Kehta Hay......
Batao Be-Sabab Kyun Rooth Jati Ho?


Mein Kehti Hoon...
Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Hay