Mairay Sabar Ka Na

Mairay Sabar Ka Na
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
  

Jun, 07 2010     669 chars (5 sms)     4019 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

mere zakham abhi bhare nhi
main dawa keron k dua keron

apne zakham ka merham keron
ya tere vaar ka intizaar

koi or de mujhe naya zakham
main zakhmon se hi saja keron
Woh din baray ajeeb thay,
jub tum mere qareeb thay,
ek din hogayi judaayi,
woh din mere naseeb thay.
Sochne Ki Tumhe Kia Zaroorat Hai ,
Pukara Hai Jo Naam Tumhara ,
Pukarne Wala Koi Gair Nahin ,
Ek Pyara Sa Anjana Sa Dost Hai Tumhara.!
kisi kamzor lamhey mein
agar mein tum se ye keh doon
mujhey tum se MUHABBAT hey
to ye mat samjh lena
k mein ne sach kaha ho ga...
aisy dil nashee''n bato''n ko
pairaye mein kehna
mujhey bachpan se aata hey...
meri aankhein, mera chehra
mera ye bey saakhta lehja
ye sab jhoot kehta hey..
par is jhoot mein ek sach bhi hey...
MUJHEY TUM SE MUHABBAT HE..!!!
Daagh-e-Sajood ager teri Peshani pey huwa to keya,

Koi aeysa SAJDA bhi ker k Zameen pey Nishan rahey.
Akela Hun Magar
Abaad KarLeta Hun Veerane.
Bohat roye ge Mere baad Meri Shaam- E- Tanhaai..
Kanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi,

Ruth K Log Tod Dia Krte Hai,

Jo Bahut Ache Ho Unse Pyar Mat Krna,

Aksar Ache Log Hi Dil Tod Dia Krte Hai.
Bina Libaas Aaye Thay Hum Sab Is Jahan Mein

Bas Ek Kafan Ki Khatir Itna Safar Kerna Pada ...
ye ehtaraam to karna zaroor padta hai
jo tu kharide to bikna zaroor padta hai
Main Pyaar Ka
MUFTI Hoon Aur Mera
FATWA Hy

Jo Chorh De Raaho'n
Mein Wo KAAFIR Se Bhi
BAD'TAR Hy ... !!!!!
Na Lafz Itne Qadd-aawer
Na Tujh Si Koi Shey ...



Bayaan Kis Tarah Kerta
Tujhy Misaal Se Main ... !!
Der Raat Jab Kisi Ke Yaad Satayee
Thandi Hawa Jab Zulfon Ko Sehlaye
Karlo Aakhe Band Aur So Jaao Kya Pata
Jiska Hai Khayal Wo Khuwabon Main Aa Jaye