Mujhe naaz hai ke too mera pyar hai...
Tum ho to mujhe jine ka armaan hai...
Tumhe milne se dil khil uthta hai...
Meri zindagi ki ek toohi pahechaan hai...
Tere siwa mujhe kisi se kya kaam hai...
Tere bina mera jina bhi bekaar hai...
Mujhe naaz hai ki toohi mera pyar hai...
Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Dil Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail Dekhna Chahta Hai Ab Laut Aao Kay Aik Bar Phir Meri Palkien Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker Jhukna Chahti Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meray Qadam Tumharey Qadmon Kay Saath Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Mera Wajood Tumharey Ishq Ki Aag Main Jalna Chahta Hai Ab Laut Aao Key Aik Bar Phir Meri Zindagi Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker Khud Ko Jeena Chahti Hai
Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?
lafz likhta hou to ehsas likha jata hai dard likhta hoon
to piyas likha jata hai mere zameera se wakif hai youn
kalam mera mohabbat likhta hou to tera naam likha jata hai