Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
Tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi
Sham ne lipat kar pyar ka izhar kiya,
Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya.
Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan,
Dil lagi ne Dilkashi se waqt ko guljar kiya.
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai, Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai. Dosti mein duniya lakh baney rukavat, Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Dilo me aarzu ke diye jalate rahenge,
Aankhon se aansu nikalte rahenge.
Tum shama bankar dil me roshni to karo,
Hum mom bankar uhee pighalte rahenge....