Kaho ab Kia Kahon TUm Say!
Batao ab kia likhon tum ko!
Mujhay Tamheed do koi
Mujhay Umeed do koi
Naya ek lafz ho koi
jahan say baat chal niklay
meri mushkil ka hal niklay
Batao lehja kaisa ho
kay tum say baat karni hai
kaho ab kya irada hai
mujhay izhar karna hai
kay tum ko yeh batana hai
tum aksar yaad atay ho !!!
Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
kuch khwab han jin ko likhna ha
tabeer ki surat deni ha
kuch log han ujray dill waly
jinhain apni mohabt deni ha
kuch phool han jin ko chunana ha
aur haar ki surat deni ha
kuch apni neend baqi ha
jisy bantana ha kuch logon main
inn ko bhi tu raaht deni ha
AA UMAR_E_RWAN
ahista challlllllllll!
abhi khasa qarz chukana ha