Bay baat bigartay rehtay

Bay baat bigartay rehtay
Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho...?


Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho...?


Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho...?
  

Jun, 07 2010     370 chars (3 sms)     3269 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna

Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,

bhool kar bhi in par na marham lagana tum.

jab kabhi tum tanha ho aur meri yaad satati ho,

bewafa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum.
Kabhi yun bhi to ho”
Darya ka sahil ho,Pooray chaand ki Raat ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
Satroun ki mehfil ho,Koi Tumhari baat ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
Sooni her manzil ho,koee na merey sath ho,
or tum aao…
Kabhi yun bhi to ho,
ye Badal aisa toot k barsey,
meray Dil ki tarha milnay ko tumhara dil bhi tarsey,
Or tum aao….
Kabhi yun bhi to ho
Tanhai ho,Dil ho, Barsat ho, or tum aao. .
Kabhi yun bhi to ho
Phool Khushboo Ke Nashe Main Bikhar Jate He
Log Pehchan Banate Banate Marjate Hein
Maanzil Un Ka Hi Mukkadar Hoti He Talab Ho Jinko
Be Talab Log To Manzil Se Ghuzar Jate Hein
Badd gumaan na ho hath uthanay say
Ham taray haq main Duaa kartay hain
"Meri khamoshi thi jo seh gayi,
uski yaadein hi ab is dil mein reh gayi,
thi shayad uski bhi koi majboori,
jo aaj meri kahani phir adhoori reh gayi"
Ro Ro kay pocha mujh sy marey Aansoun nay

tu apni kismat main aur kitney Gham Rakhta hai
Dil behl jaye to log chhor dety hain

Koi or mil jaye to log chhor dety hain

4 din ki chandni ka kya krna

Chandni dhal jaye to log chhor dety hain

kasmain to khaty hain sda sath jany ki

Zehn badal jaye to log chhor dety hain

Aaj kal k logon ka kya bharosa..!

Mosam badal jaye to log chhor dety hain

Log mohabat karty hain matlab k liye

Matlab nikal jaye to log chhor dety hain.
Gham-E-Zendagi Teri Raha Mein
Shab-E-Arzo Teri Chaha Mein

Ju Ujar Gia Wo Basa Nahi
Ju Bichar Gia Wo Mila Nahi
. . Kaha Sirf us Ne
Itna Ke Khamoshi
Hai Mujhe Bohat Pasand . .


Itna Sun''na Tha Ke
Hum Ne Shor Machati Apni
Dharkanen bhi Rok lee..
Mujhe yaad hai wo sab....

Main bhool jaon tumhain
ab yahi munasib hai
mager bhulana bhi chahoon
to kis tarah bholoon
kah tum to phir bhi haqeeqat hoo
koi khawab nahi
yahan to dil ka yeh aalam hai kah kia kahoon
kumbakhat
bhula na paya wo silsala
jo tha hi nahi
wo ik khyal
jo awaz tak gia hi nahi
wo ik baat
jo main kehh naheen saka tum se
wo ik rubt
jo hum main kabhi raha hi nahi
mujhe yaad hai wo sab
JO KABHI HUA HI NAHI.......
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne ..