pyaar kay deep jalaney walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan sey janey walay kuch kuch pagal hotay hain
hijr kay gheray zakhm milay to mujhko ehsaas hua
pagal ko samjhney walay kuch kuch pagal hotay hain
jaan sey piyarey logo sey bhi kuch kuch pardah lazmi hai
sary baatein bataney walay kuch kuch pagal hotay hain
is kay ishq mein bheeg kay humko yeh ehsas hua
dil ki baat mein anay walay kuch kuch pagal hotay hainn
Meri chahaton men doobne se baaz raho, -
Tu kahe mujhse haal-e-dil aur mera inkaar ho, -
Yeh Naobat na aaye issliye meri baat maan, -
Chhod de peechha mera ki tu ab khwar na ho. -
usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
mujh ko paaband-e-zanjeer kua or chor daya.
us ne aanchal se nakali meri ghum gasta kitaab.
or chupke se mhubat ka waraq mor daya.