Andheri raatein
Andhere din
Yara tere bin !!
Kis tarah guzre gi zindagi
Shayad kise din
Ho takrao hamara tumhara
To mei bhi tum se poucho
Kahan gai wo waday
Kahan gai wo qasmein
Jo tum subah shaam kerte thay
Kis tarah kati kis tarah guzri
Tumhare subah, shaam, raat aur kis tarah
Guzre mere bin tumhare din !
Is aas pay pouchon ge yai sawal
Kay shayad !!!
Tum keh do kay udaas raha sare raat
Sare sham, sara din
To is jawab per mei khush khush guzaron
Subah, sham, raat
Aur shayad zindagi kay sare din
Bus itna yaad hai
Duaa to na jane kon si thee
Zahen mei nahi
Bus itna yaad hai
Kay do hatelian mile hoi thee
Jis mei aik mere thee aur aik tumhare
Aik din bahroon k phool murjha jayeenge, jab bhule se kabhi hum yaad aayeenge, ahsas hoga tumhein humari dosti ka jab, duur bahat duur hum tum se chale jayeenge!
Rangat teri zulfo ki ghatao ne churai,
Khusboo tere anchal se hawao ne udai.
Paimane ka dil na tut jaye to kahu main,
Hai cheez gazab ki jo nigaho ne pilai.
Teri yaad bhi ek beeta hua kal hai,
Jise bhula na paun aisa wo pal hai,
Kabhi mere dil ki gehraiyo se guzar kar to dekh,
Mere wajood se juda tera har pal hai.