Pairh ko deemak lag

Pairh ko deemak lag
Pairh ko deemak lag jaey ya adam zad ko Gham...






Donoo''n hee ko Amjad hum ne Bachtay Dekha kam...
  

Jun, 02 2010     111 chars (1 sms)     3058 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aj mehfil-e-yaaran mein ronaq na thi,
Udassi thi chaaii hasi bhi na thi;

Muskurahat thi logoon ki itni banawati,
Chehroon pe wafa ki woh tazgi bhi na thi;

Kaloos ke saray jazbay thay sard is kadar,
Aj suraj ke kirnoon mein tapish bhi na thi;

Meray dard ko log kia mahsoos kerte,
Meray ansoon mein nami bhi na thi;

Meri zaat ko qabool kerte woh kis tarah,
Aj maut ki bhi qabooliat ki arzoo na thi;

Sawaal poocha keh nazroon mein teri aisa manzar tha kyun,
Jawaab aaya keh SAAHIL ki nazroon mein Woh Jo Na Thi;
Dil k arman ko dil me sula na dena

apni khubsurat aankho ko rula na dena

kal kisne dekha he

aakhir hum na rahe to hume bhula na dena.
tum ik charagh ki khairat de rahe ho mujhe.

main aftab se daman churra k aya hoon.
Sara hi shehar us k janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.
Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tu laut ke ayegi..!!

Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Har ashq mein tu apne mujhe hi payegi..!!
Khwab bn k koi aye ga to neend aye gi

ab wohi ah k sulaye ga to neend aye gi

dil ki wo bat jo ankhu se beyan hoti hai

koi honto se sunaye ga to neend aye gi.
Ya Rab Gham-e-Hijraan Mein
Itna Tou Kia Hota

Jo Haath Jigar Par Hy
Wo Dast-e-Dua Hota

Umeed Tou Ban Jati
Taskeen Tou Ho Jati

Wada Na Wafa Karty
Wada Tou Kia Hota
YahAn ManzAr se Pas-e-ManzAr Tak
HairAni He HairAni hAy.


kAbhi Asal ka BhAid nhi khultA,
Kabi sachA Khawab nhi Aata.
Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.
Wo Mujhe Tuut Ker Chahe Ga Aur Bhool Jaye Ga

Mujhe Khabar Thi Usey Ye Hunar Bhi Aata Hai !!
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...