Taras jao ge tum mehfil

Taras jao ge tum mehfil
Taras jao ge tum mehfil-e- wafa k liye

Kisi se pyar na karna kabhi khuda k liye

Jab lage gi ishq ki adaalat ek din

Tum hi chunay jaoge saza k liye.
  

Jun, 07 2010     157 chars (1 sms)     3359 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aaina zarori hay...

Zindagi k che''hray ka...

Naqsh jab bigarr jaaey...

Dosto''n ki aankho''n may...

Dushhmani ubahr aaey...

Kaanch ki sunehri baat ....

Zair-e-lab bikhhar jaaey...

Lafz bay-yaqeeni k...

Chungalo''n may ghir jaaey''n....

Sakht bay-subaati ho...

Baat baat zaati ho..

Is tarah k aalam may...

Aaina zaroori hay...!
Dil todna hamari aadat nahi,Dil hum kisi ka dukhate nahi.
Bharosa rakhna meri wafaon pe,Dil me basa ke hum kisi ko
Bhulate nahi..
wisl ho ya firaq ho mohsin,

jagna sari rat mushkil hi..
mujhay itna tou bata dou keh meray janay k baad
mujhay yaad kiya kertay tou ho na
woh baaton he baaton mein meri baat aanay say
mera khayal tum dil mien latay tou ho na
Agar hum 1 ansu hote to apki ankho se hokr apke hotho pe
marna pasandkarte, aur agr aap meri ankho k ansu hoe to vada he mere "DOST"
hum jindagi bhar nahi rote
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
Wo Apne Faiday Ki Khatir Phir A Mile Thay Humse

FARAZ

Hum Nad''an Samjhe K Hamari Dua''on Ka Asar Hai
usy meri mohbat pr brosa he na tha.

mohsin

pher wo q logo ko mri wafaon k hawaly dta hy.
parh Chuke Husn ki Tarikh ko Hm Tere Baad,

ishQ Aage Na Barha 1 Qadam Tere Baad,

Aaj Tk Phir koi Tasveer Na Bani Aisi,

jis ki khai Ho Musawar Ne Qasm Tere Baad
jis shehr ki masjid bhi tarsti ho jabeen ko,

phir samjho k us shehr ka har shakhs khuda hy..
rukhsat huwa to ankh mila kar be nahi gaya
wo kyun gaya ye bata kar be nahi gaya

wo yon gaya kay bada-e-saba yaad aagai
ahsas tak be hum ko dila kar nahi gaya

ghar main hay aj tak wohi khusbo basi hoi
lagta hay kay jasay wo aa kar hi nahi gaya

rehnay diya na us nay kisi kam ka mujy
our khak mian be muj ko mila kar nahigaya
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na Jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...