Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
Baharain phool barsati hain KHUSHI ke mosam me
Khushboo phelati hy chaman me is mosam me
Sanam miltay hain prem hota hy ummang se
Yeh basant ki bahar hy dil per is mosam me
Nazm Uljhi Hui Hai Seeney Main
Misrey Atkey Huey Hyn Honton
Udtey Phirtey Hyn Titlyo''n Ki Trha
Lafz Kaghaz Per Beth''te Hii Nahi
Kab Se Betha Hoon Main
Koray Kaghaz Pe Likh K Naam Tera
Bas Tera Naam Hi Mukamal Hy
Is Se Behter Bhi Nazam Kia Hogi
Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY APNA ...!!!