Mera Piyar Bhi Mera

Mera Piyar Bhi Mera
Mera Piyar Bhi Mera Hi Mazak Ban Gaya
Loogon Ki Nazroo Main Ye Tamasha Ban Gaya

Mana K Kya Hai Jurum Maine Piyar Kar K
Par Dosro Ne Kya Piyar To Jeene Ki Waja Ban Gaya
  

Jun, 03 2010     172 chars (2 sms)     2745 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

parindon ne kabhi firqaa parasti to nahi dekhi.

"SAGAR"

Kabhi mandar pe ja bethay kabi masjid pe ja bethay.
Mere Wajud Main Wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato''n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De
Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain
mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee
jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain ........;->
mere begair nahi hogi teri shnakht kbi puri...

teri zindagi k sath mere hawalay bohat hain...
Jab bhi tanhai ne unko sataya hoga
Tab tab unko mera khayal aaya hoga
Gam ye nahi ke who bhul gaye humko
Gum ye hai ke ro ro kar bhulaya hoga
Mera Waada Hai yeh Tum se!!

Tumhen Itna Main Chahoongi!!

K Duniya Main Kahen Per Bhi!!

Mohabbat K Hawaaly se!!

Kabhi Jo Baat niklegi!!

Hamara Naam Aaegaa!!
Suna Hai Zindagi Imtehan Leti Hai

FARAZ

Par Yahan To Imtehano Ne Zindagi Lel
log mujhe kehte hain
ki tum kyu apne pyaar ka izhaar nhi karte??????

maine kaha jo 3lafzo main bayaan ho jaae
sirf itna hum unse
PYAAR Nhi karte
Tumhain Bhulne Ki Qasam Bhula Betha Hoon
Dil Main Ik Naya Dard Jaga Betha Hoon

Sabar Ka Daman Hath Se Nikalta Ja Raha Hay
Haan Aa Dekh Teri Rahon Main Aa Betha Hoon

Jeetne Ka Ab Aay Ga Nahi Maza Sameer Ko
Q K Teri Rah Main Dil Main Apna Haar Betha Hoon
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai,
Tanhai mein sheher basaaya karta hai,

Kaisa paagal shaks hai saari saari raat,
Deewaroon ko dard sunaya karta hai,

Ro daita hai aap hi apni baatoon par,
Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai...!
Nadiyon se Kinare Toot Sakte hain,

Aasmaan se Taare Toot Sakte hain.

Magar Iss Baat ki kabhi Umeed Mat Karna

ki Hum Doston ko Yaad Karna Bhool Sakte hain
Lamhay judai k bekarar kartè hain.

Haalat meray mujhay lachar kartè hain.

Ankhain meri parh lo kabhe.

Hum khud kaisay kahen k hum aap ko kitna yaad kartè hain.