Hai Ta''aluq Tou Ek Saada Lafz

Hai Ta''aluq Tou Ek Saada Lafz
Hai Ta''aluq Tou Ek Saada Lafz

Phir Jo Bhi Hai Wo Nibaah Main Hy

Kab Se Maine Palak Nahi Jhapki

Koi Meri Nigaah Main Hai
  

Jun, 03 2010     130 chars (1 sms)     3650 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

sambhal sakty nahi hum ye gham ki jageerain..

WASI

Utar lejiye sar se ye taaj kanton ka...
Woh Kuch Sunta To Mein Kehta
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Woh Do Pal Ko Jo Ruk Jata
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Ghalat Fehmi Nay Baton Ko
Barha Dala Younhi Warna
Kaha Kuch Tha Woh Kuch Samjha
Mujhay Kuch Aor Kehna Tha
Hathelii
Duwa to janey
kon se thi zahain mai nahi
bas itna
yaad hai k
do hateliyan mile hoyee thi
jin mai say
ek MERI thi OR ek TUMHARI
Tu Ne Wafa Ki Khaas Koi Guftugu Na Ki

Aur Maine Bhi Dil Ki Baat Tere Rubaroo Na Ki

Tu Bhi Tamam Umar Dhoondta Raha Mujhe

Maine Bhi Tere Baad Koi Justuju Na Ki
MuFt EhSaAn Na LeNa YaArO''N . . .

DiL aBhI AuR bHi SaStE hOn gE
Din Akele Raat Tanha Kat Di Mein Ne
Doston Mein Sari Khushiyan Bant Di Mein
Jeevan Ki Bhag Dor Mein Mujhe Mila Hee Kia
Pane Ki Umeed Mein Zindagi Kat Di Mein Ne
Mohabbat Bhi Hoti Hy Zarurat
K Paish-E-Nazar

Ab Ek Nazar Mein Lutt Jane Ka
Zamana Nahi Raha ... !!
dil chahata hay tujh ko na janaay kyun
pass chahta hay tujh ko na nanaay kyun

her ghari rahta hay tara khiaal
dil tujh ko dhondta hay na janaay kyun

rahta hay bay-qarar naq jaay kyun
aqrar chahata hay tujh say na janaay kyun
Aansuo''n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Haath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi
Aaj us ki yaad ne hamain tarpaya bohat,

aaj na chahtay howay bhi woh yaad aya bohat,

uss k baad tu jasay vehshaton se dosti ho gai,

phir kyon aaj tanhaiyon ne daraaya bohat,

woh mera tha,mera hai, mera rahay ga,

hum nay iss khayal se khud ko behlaya bohat,

hum ne jis kisi ko bhi humdard samjha apna,

woh hamare dukh pe na jaane kyon muskuraya bohat...
muhabbat khud batatee hai kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai
Kahan DekhA kis ne Ujharti Kismat ko,


mere Shauk ko Na Is Tarah Himat Do,


meri Hr Veerani Main,main Ek Khushbo Hoon,


Ye Bas mera sarmAYa hY,
Yeh kisi KO mat Do.