Mari mohabat hay woh, koi majboori to nahi.
woh mujay chahay, ya mill jay zarori to nahi.
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
jaan qurban mari, us ki her muskurahat pay.
chaaht ka takaza hay yahi, Aqal-e-Khurori to nahi.
ab to nikal kay ankhoon say yadoon main ja basa woh.
yahi hay qurbat-e-chaahat, koi dori to nahi.
us kay gar ki tarf utthy hi ruk jaty hain kadam.
badnami say us ki darta hoon, koi mazori to nahi.
keyoon log madhoosh hotay hain mari mahaq say.
dil ki jalan aur ansoaoon ka ater hay, mahaq-e-kafori to nai.
dair karta hoon her kam main katay hain dost mary..
kam aqali hay mari koi shaoori to nahi.
keyoon sulgata hay apnay app ko ay Saadash
dil bhi tara jan bhi tari, koi tandori to nahi
Tanhaion k Shehar mein aik ghar bana lia
Ruswaion ko Apna muqadar bana lia
Dekha hai yahan pathar ko pojty hain log
bas iss liye apny dil ko Pathar bana lia
Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi