Kabhi jo maazi main

Kabhi jo maazi main
Kabhi jo maazi main jhankoge
tumhain hum yaad aayenge,

kisi lamhe kuch jo sochoge
tumhain hum yaad aayenge ,

kabhi yun hi akele main
beet-e-dino ko soch ker

koi geet jo gungunaoge
tumhain hum yaad aayenge,

sab doston ki mehfil main
kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge
tumhain hum yaad aayenge,
,
zindagi ke kisi morr per
apne dil ki baat ko

kisi se keh na paoge
tumhain hum yaad aayenge. ...!!!
  

Jun, 05 2010     434 chars (3 sms)     2598 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

uski yadon me doob jata hun.
khud ko tanha kbi jo pata hun.

qatra qatra wajood se le kr.
khwahishon ko lahu piktata hun.

log khushiyan tajash karte hyn.
main to gham b khareed lata hun.

aj kal hy mizaj e dil barham.
rona chahun to muskrata hun.

roz kehta hun bhool jaon usay.
roz ye baat bhool jata hun!
Is bharay sheher main tanha karta hoon hawa say baatain.

parta hay har qadam zameen par maira majnu ki tarah.
Apni aankhon se sabhi ashk baha kar sona, Tum meri yaad ka her deep bhuja kar sona, Ek sitara bhi mere khyal ka baqi na rahy chandni shab k nishanaat mita kar sona,
dar lga rehta hai neend hi kaheen cheen na ly,
Tera her roz mere khuaab men aakar sona,
Baad main log gira bhi den to koi baat nahi
her taraf piyar ki deewar utha kar sona
Subha hoty hi tere shehar se jana hy mujhy
Aaj ki raat zra mujh ko Mana kar sona.....
laut aati hai meri shab ki ebadat khali''mohsin"

janay kis arsh par rehta hai khuda sham k baad..
Oudaas Shamo ki Siskiyon mein
Kabhi jo Meri Awaaz Sun_na

Tu beetey Lamhon ko Yaad kr k
Inhee Fizaaon mein loot aana

Tum aaya krte thy Hawab ban kr
Kabhi mehakte Gulaab ban kr

Mein Hushak Honton se Jab Pukaaron
In Adaaon mein Loot aana

Meri Wafaaon ko Paas Rakhna
Meri Duaaon ko Paas Rakhna

Mein Haali Hathon ko Jab Outhaon
Meri Duaaon Mein Lout Aana..........
Mohabbat Ho Tou Be-hadh
Ho Jo Nafrat Tou Be-paya''n

Koi Bhi Kaam Kam Kerna
Mujhy Hargiz Nahi Aata ... !!
Jab say teri chahat apni zindagi bana li hai
Hum nay udas rehna adapt bana li hai
Her din har raat kati hai teri yaad mein
Teri yaad hum nay ibadat bana li hai
Aapki yaad aaye to dil kya kare,

Yaad dil se na jaye to dil kya kare,

Socha tha sapno me mulaqat hogi,

Magar nind hi na aaye to hum kya kare
Ae Baad-e-Saba

Us Nagar Main ja

Usay Itna Bata

Ek Dost Tera

Kehta Hy Sada

Mujhy Apna Bana

Chahat Ko Jaga

Ae Jaan-e-Ghazal

Teri Baat Azal

Tere Hont Kanwal

Teri Aankh Ghazal

Ae Jaan-e-Wafa

Khud Tu Hi Bata

Kab Tere Siwa

Mujhe Chain Mila ... ???
Suljha Hua Sa Fard Samajhty Hain Mujh Ko Log.




Uljha Hua Sa Mujh Main Koi Doosra Bhi Hae !!
Aansuo''n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Haath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi
mein is se barh kar zabt ki misal kia deta,

woh mujh se lipat kar ro raha tha kisi aur k liye...