Ek Naam kya Likha Tera

Ek Naam kya Likha Tera
Ek Naam kya Likha Tera Sahil ki Rait per,
Phir Umar Bhar Hawa se Meri Dushmani Rahi…
  

Jun, 02 2010     85 chars (1 sms)     3038 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Barson Ke Baad Hoti Hai Mulaqat
Phir Bhi Rehti Hai Dil Me Dil Ki Baat
Nazron Se Karna Padta Hai Pyaar
Par Nazar Milane Ke Liye Bhi Karna Padta Hai Intezaar

Ye Dunya Hy Yahan Pe
Ye Tamasha Ho Bhi Skta Hy

Abhi Jo Gham Humara Hy
Tumhara Ho Bhi Skta Hy

Tum Apne Aap Ko Hargiz
Ilzaam Mat Dena

Ye Sauda Hy Mohabbat Ka
Khasara Ho Bhi Sakta Hy

Na Ye Samjho K Tum Hi
Aakhri Meri Mohabbat Ho

Mohabbat Jurm Hy Hum Se
Dobara Ho Bhi Skta Hy
ye ehtaraam to karna zaroor padta hai
jo tu kharide to bikna zaroor padta hai
mujhy uss jagah se bhi muhabat ho jati hai mohsin.

jahan baith kar aik baar tujhy sooch leta hoon..
Ek lamhe mai uss ne zindagi ujaar di,Ek lamhe mai uss ne zindagi sanwaar di,Qasoor uss ka nahi mera tha jo in hi dou lamhoun mai zindagi guzaar di.
sHamMA pArwane se kehti yeh ro kar

SHAB-E-HIJAR

Aaj ki rAat bachain gain to sehAr Dekhain Gain.
Phir nazar se pila dijiye
Hosh mere uda dijiye
Chodiye dushmani ki ranjish
Ab zara muskura dijiye
Baat afsana ban jayegi
Is kadar mat hawa dijiye
Aaiye khul ke miliye gale
Sab takalluf hata dijiye
kisi k hissay mein ghar aya kisi k hissay dukaan aee

mein sub say chota tha meray hissay mein MAA aee
Barha k mujh se rah-o-rasm ab wo sochte hain,



Wohi bohat tha jo rishta dua salam ka tha......!!!
....
HovY mar k hm jo ruswa,hovY Q Na GharQ-E-DarYa....



Na kabi janaza Uthata na Kahin mazaar hota...:
apane chehre se jo zaahir hai chhupaaye’n kaise
terii marzii ki mutaabik nazar aaye’n kaise
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi