Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
Zindagi Yun Teri Chahat k Naam Kerdi
Jese Ghaney Darakht k Neeche Shaam Kerdi
Laut Jate Hyn Parinde Bhi Shaam Hote Hi
Hum Ne Tou Har Shaam Hi Tere Naam Kerdi
Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
mujhay itna tou bata dou keh meray janay k baad
mujhay yaad kiya kertay tou ho na
woh baaton he baaton mein meri baat aanay say
mera khayal tum dil mien latay tou ho na