Milo K Aaj Koi Baat

Milo K Aaj Koi Baat
Milo K Aaj Koi Baat

Ru Baru Ker Lain,

Ye Kyoun Hai Duriyan Kuch Is Pey

Guftugo Ker Lain,

Karangay Phir Se Ibadat Tumharay Chehray Ki,


K Pehlay Aankhon Ko Ashkon Se Ba-Wazo Ker Lain.
****ROOOMII*****
  

Jun, 03 2010     216 chars (2 sms)     2969 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Be Rehmi Se He Sahi Magar Kuch To Bola Karo Dost!


Chup Rehte Ho To Nafrat Ka Gumaan Hota Hai.
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.
yun miley k mulaqat ho na saki

hont kanpe par baat ho na saki

meri har nigah dastan keh gayi

unko shikayat rahi ki baat ho na saki
kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do

sab baatein dil ki keh dein ager
phir baqi kya reh jaye ga.......
sab baatein dil ki sun lein ager
phir suny ko kya reh jye ga

kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do
chalo baant laitay hain apni sazaien.
na tum yaad aao, na hum yaad aaein.

her kisi nay sajaya hai chehre pe chehra.
kisay yaad rekhain kisay bhool jaien.

tumhian jab bhulana bas mai nahi hay,
to kiun sochtay hain tumhian bhool jaien.
chalo baant laitay hain apni sazaien.........
"Khuwab bhi shayed kaanch se kamzor hote hain,

"("Mohsin")"

Her roz bikhar jaate hain faqat ik aankh k khulne se..
Kash K Ab K Bars Wo Yeh Keh Day . Aao K Tanha Hoon Teri Tarha, Tery Liye.
baat Be baat Toot jAta hAi


Dil B KachA makaan hAi shAyed
Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaye ga

Itna manoos na ho hilwat-e-ghum sey apni
Tu kabhi khud ko bhi dheikhey ga tu dar jaye ga

Tum sar-e-rah-e-wafa dheikhtye reh jao gey
Or wo baagh-e-rafaqat sey uttar jaye ga

Zindgi teri atta hai tu ye jaaney wala
Teri bukhshish ko teri dehleez per rakh jaye ga

Aankh sey door na ho dil sey utar jaye ga
Yun he ranjishoun main guzar gayi
kabhi wo khafa kabhi main khafa,
usi mor k har mor pe,
kabhi wo ruka
kabhi mai ruka
wohi raastay,wohi ham safar,
na use khabar na mujhe pata
apni apni anaa mai gum
kabhi wo khuda
kabhi main khuda.......!!!
Jo rishta kayam hai wo hum nibhege,

Nigaho se door rah kar bhi aapko chahege.

Pata nahi aap kiske sath ghar basayege,

Par hum aapka naam lete lete mar jayenge.
Tanhaioon Main Mujhay
Tairay Badaltay Tevar Pay
Apni Muhabbat Ki Paspai Pay
Maira Zoor Say Roo Daina
Mujhay Maira Muqadar Lagta Hai