Ek Pasheman Si Hasrat Se Mujhe Sochta Hai
Ab Wohi Shahar Mohabbat Se Mujhe Sochta Hai
Mein To Mehdood Se Lamhoo Me Mii Thi Os Ko
Phir Bhi Wo Kitni Wizahat Se Mujhe Sochta Hai
Jis Ne Socha Hi Na Tha Hijzar Ka Mumkin Hona
Dukh Mein Dobi Howi Hairat Se Mujhe Sochta Hai
Garcha Ab Tark-E-Marasim Ko Bohat Dair Howi
Ab Bhi Wo Meri Ijazat Se Mujhe Sochta Hai
Kitne Kush Feham Hai Wo Sakhs Ke Har Mausam Mein
Ek Naye Rukh,Naye Soorat Se Mujhe Sochta Hai
Pyar kise kehte hai yeh hum nahi jaante....
Is zindigi ko ab hum apna nahi maante....
Gam itne mile hai ki ab ahsaas nahi hota.....
karega koi pyar to ab aitbaar nahi hoga....
Dilo me aarzu ke diye jalate rahenge,
Aankhon se aansu nikalte rahenge.
Tum shama bankar dil me roshni to karo,
Hum mom bankar uhee pighalte rahenge....
saaman-e-tijaarat meraa imaan nahii.n hai.
har dar pe jhuke sar ye merii shaan nahii.n hai
har lafz ko siine me.n basaa lo to bane baat
taako.n me.n sajaane ko ye quraan nahii.n hai
Mein Kyun Na Terk-E-Taluq Ki Ibtida Kerta
MeiN Agar Ye Na Kerta To Aur Kia Kerta
WO MEre Zabt Ka Andaza Kerne Aaya Tha
Mein Hans K Zakaham Na Khata To AUr KIa Kerta
Bara Andhera Tha Un Ki Rahoon MEin Ay Dil
Mein Apna Ghar Na Jalata To Aur Kia Kerta