kuch baatein unkehi rehny do

kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do

sab baatein dil ki keh dein ager
phir baqi kya reh jaye ga.......
sab baatein dil ki sun lein ager
phir suny ko kya reh jye ga

kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do
  

Jun, 01 2010     253 chars (2 sms)     2888 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Eik sawal zindagi se kiya karte hain

K hum iss duniya mein kyun jiya karte hain,

Jab kisi k liye kisi k paas waqt nahin to

loug kyu rishtay bana liya karte hain
Sabhi Log To Kabhi Achay Nahin Rehtay
Jin Se Sach Seekha Hai Woh Bhi Sachay Nahin Rehtay
Kiun Aisa Hoota Hai Aetebaar Ki Tooti Dehleez Per
Jo Buhat Apnay Hoon, Akser Apnay Nahin Rehtay
mast nazron se dekh lena tha
agar tamanna thi azmane ki
hum to yuhi behosh hojate
kya zarurat thi muskurane ki
zindgi kaash tu hi rooth jati muj sy...!!!

yeh roothy huwy log muj se manaye nahi jaty..
yeh bhi ma'' loom hay na aao gaey
muddaton se par intizaar wohi

meri wehshat ka rang bhi wesa
aur khaali tera diyaar wohi
Rulana Har Kisi Ko Ata He,
Hasana Kisi Kisi Ko Ata He.
Rula Ke Jo Mana Le Wo Sacha Yaar He
Or Jo Rula Ke Khud Bhi Ansu Bahaye Wo Pyar hai
Yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
Ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe
Agar Aanso Baha Daita To us K Paas Kya Rehta…
Woh Mujhko Hosla Daita To Us K Paas Kya Rehta…

Nishaan Mujhko BNahin Milta Koi Us Tak Puhunchnay Ka
Mujhay Apna Pata daita To Us K Paas Kya Rehta

Musaafir Saaray Hi Phal Khaa K Apni Raah Chal Detay
Shajar Tehni Jhuka Deta To Os K Paas Kya Rehta

Meri Yaadon Ne Hi Ab Tk Osay Abaad Rakha Hay
Woh Mujhko Bhi Bhula Daita To Us K Paas Kya Rehta
Nazar Khamosh
Zubaan Chup
Sada-e-Dil Marham

Kisi Ka Zikr
Na Nikla Tumhari
Baat k Baad
na koi khawab hamaray hain na taberain hain
hum to pani pe banai howey tasveerain hain

kya khabar kab kisi insaan pe chaat aan giray
qareya e sung hai orr kanch ki tameerain hain

lut gaye mooft main doonu, teri dolat mera dil
aey sahhee! teri meri aik si taqdeerain hain

hum jo nakhawanda nahi to chalo aao parhein
wo jo deewar pe likhi howey tehreerain hain

ho na ho yeh koi such bolnay wala hai QATEEL
jiss k haath main qalam paon main zangeerain hain
Aadat si bana li hey Tere shaher key logon ney
Andaaz badal lena Aawaz badal lena

Dunia ki mohbbat main Atwaar badal lena
Mosam jo naya aaye, Raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna, Ahbaab badal lena
Rastay main agar milna, Nazroon ko jhuka lena

Awaaz agar do to Katra ke nikal jana
Har ek sey juda rehna Har ek sey khafa rehna

Jaatey howey raahi ko Manzil ka pata dey kar
Raastey main rula dena

Aadat si bana li hey
Tere shaher ke logon ney ...
Kitne zalim hai mere khuwab..
Jana
us se milne k lye mujhe sone nai dte