eK sHakHs kAr rAhA hAi

eK sHakHs kAr rAhA hAi
eK sHakHs kAr rAhA hAi aBhI tAk wAfA kA zIkAr fArAz...

kAasH uS zAbAan-dArAz kA mUnh nOch lE kOi.
  

Jun, 01 2010     100 chars (1 sms)     2607 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
zuban kahti hai sara qasoor uska tha...

zameer kahta hai kuch zemadaar main bhi hon..
chandni rat ky seemi se haseen ancha l main
jabkh hasti ka her ik naqsh sanwer jata hai
ik nakam musafir tery milny keliy
sir jkhukaey tery koochy se guzer jata hai
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi
Aaj Kyun Kisi K Yaad Sone Nahi Deti
Iss Zamane Ki bandish B Rone NAHi deti
Kesi Kashish Hai Teri
Jo Tujhe Mera Aur Mujhe Kisi Aur Ka Hone Nahi Deti
Wo Yaron ki Mehfil wo muskraty hwy Pal
Dilse Juda Nhi Apna Beeta hua Kal
Kbhi Guzrti thi Zindgi Khushiyan Pany Me
Ab Wqt Guzr Jata h Kagaz k Tukry Kamany Me ;->
Yeh Unki Bhi Aankhon Ka Qusur Hai






Main Tanha Gunahgar To Nahi
Har ghari imtihaan mein guzri

Zindagi tere dhyaan mein guzri

Agli sadiyon mein ghar bana lena

Ye sadi to uraan mein guzri....
Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
Mujh ko teray Qurb ki khawahish tou hai magar.....

Ulfat ka jo Maza hai wo inhi Faaslon main hai..........
Phoolon Ki Tarha Lab Khol Kabhi...
Khushboo Ki Zubaan Mein Bol Kabhi.....


Yun toh gham sab ki zindagi mein hai
Zabt lekin kisi kisi mein hai
Us ne sun kar ghazal kaha meri
Kitna dukh teri shayari mein hai....
Kon Kehta Hy k Nafrato''n Main Dard Hy ''Faraz''
Kuch Mohabbate''n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !