Nahin Fursat YaQeen mano Hamain Kuch or

Nahin Fursat YaQeen mano Hamain Kuch or
Nahin Fursat YaQeen mano Hamain Kuch or Karney ki...
.
.
Teri Yadain,
Teri Batain,
Buhat Masroof Rakhti hain..!
  

Jun, 01 2010     117 chars (1 sms)     5743 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gai
Ke Tujhse Juda Hokar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai
Tum Laut Ke Aao Gey Hum Say Milney
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke
Ke Ab Tu Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai
Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom "Sameer"
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai...............
Khudaya!!

''Mohabbat'' agr jurm hai
Aur

Uss ki saza
Tarrap,
Aur
Aansuu hain

Tou...

Meri sirf itni si faryad hai

K

Mujhe Be-hiss banaya hota
kis kadr masoom sa lehja tha tha uska.

dheere se jaan keh kr bejaan kr gaya.
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat,
Jaisay Aadha chand,
Jaisay bin sooraj kiran,
Jaisay bin badal barsaat,
Jaisay jungal mein tanha hiran,
Jaisay be Aawaz koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra hoa paani,
Jaisay bin paani machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay bikhari zulfein,
Jaisay dolhay bin baraat,

Aisay hi tum bin main,


Aur mera yeh Adhora PaN
khof-e-raqabat say tujhey khawahish naa bataimdil ki,,,
sagar
mein jissay chaaho''n usay log bohat chahtay hain.
Na karo ham say rag-o-jaan mein samaany ki baatein

Khultay nahin ham kisi pay aagahi ki hadd tak!
Neend Aankho''n Main
Musalsal Nhi Hone Deta

Wo Mera Khwab Mukamal
Nahi Hone Deta

Ankh k Seesh Mehal Main
Wo Kisi Bhi Lamhe

Apni Tasweer Ko Ojhal
Nahi Hone Deta

Rabta Bhi Nahi Rakhta Hy
Sar-e-Wasal Koi

Aur Ta''aluq Bhi Mo''atal
Nahi Hone Deta

Dil Ye Kehta Hy Usay
Laut K Aana Hy Yahin

Ye Dilasa Mujhe Pagal
Nahi Hone Deta ...
Meri Sab Koshishen Nakaam Thi Un Ko Manane Ki

Na Jane Kahan Say Seekhi Hain ZAALIM Ne Adayen ROOTH Jane Ki
Mein Ne Aazad Kia APni Wafaon Se Tujhe
Bewafai Ki Saza Mujhko Suna Di Jaye
Mein Ne Mangi Thi Ujale Ki Faqt Aik Kiran
Tumse Ye Kis Ne Kaha Aag Laga Di Jaye
Jin ki Fitrat main Qarar Bhot Tha
Unka Milna Dushwar Bhot Tha
Jo Mere Hathon ki Lakeeron main Na Tha
Mujy Us Shakhs se "Pyar" bhot Tha
Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE