waqt mile to hame yaad

waqt mile to hame yaad
waqt mile to hame yaad karna, pal pal na sahi din mein ek bar yaad kar lena, dost honge aap ke 1000 par ham bhi ek hai itna yaad kar lena...
  

Jun, 05 2010     140 chars (1 sms)     5266 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

majburiya hamari wo jaan na sake
farmano ko hamare wo maan na sake
kehte he wo hame mar kar bhi chahenge
jite ji hame jo pehchan na sake
nahi he shikayat tujhse ki dukh diya tune
hume hi shouq tha aankhe zara bhigone ka
bahut aziz thi aankhe meri jise kal tak
sabab bhi poochne na aaya mere rone ka
woh sari baatain yaad aati hain us ko

woh subhain,
woh shaamain

wohi zindagi ki musafatain

jinhain gin gin kay guzara kartay thay..

phir jub

haqeeqaton main wapis lout''ta he

toh

muskura daita he,.

aur

sar jhatak kay kehta he..

pagli!!!
Ab Nigahon Mein
Na Khuwaish Hai
Na Hasrat Hai
Na Malal
Ab Yahan Lub Py
Kahan Hurf-E-Sawal Aata Hai
Hum Ny Apny Dil Ko Bohat Dair Sanbhala
Dil Hai Pathar Toh Nahee
Is Mein Toh Baal Aata Hai
Ab Humey Kis Ki Muhabbat Ka Yakeen Aaye Ga
Un Ki Beyzar Nigahoon Ka Khayal Aata Hai..!
Dillagi Doston Ke Naam Hoti Hai,
Dildari Dosti Ki Shaan Hoti Hai,
Kahin Bhi Raho Par Rahoge Dil Me
Mere Yehi Sachi Dosti Ki Pehchan Hoti Hai..
Lafzoon Ki Haira Pehri Main Kuch Faida Nahi
Jab Dil He Rayga Hai To Kuch Rayga Nahi

Kehnay Ko Kitni Batain Hain Karnay K Wastay
Kuch Lafaz Ki Kami Hai Kuch Hoosla Nahi

Dayta Hai Baat Kar Kay Kuch is Tarhaan Zakham
Jaysay is Maseha Ka Koyee Chara Gar Nahi
Bettha Hai Aab Woh Mujh Say Baat Karnay Ko...
Jab In Tamam Batoon Ka Koyee Faida Nahi
Apne Siwa Batao Kabhi Kuch Mila Bhi Hai Tumhain ...

Hazaar Baar Lee Hyn Tum Ne Mere Dil Ki Talashiya''n ... :)
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage
jub kabi jee me aaye to aazma lena hum ghareebon ko dost,

lahoo bi dein gy chiraaghon me jalane k liye.
Ham Ne Kanton Ko Bhi Bari Narmi Se Choya Hai

Log Kitny Bedard Hain Pholon Ko Masal Dety Hain
utrane hi nahi dati mujh par koi afat.

meri duwaon ne aasman ko rok rakha hai.
Mera us sy taa''luq sirf itna hai

k us k naam par

seeney main dharkan rukne lagti hai

magar aansoo nahi rukte.....
Meri chahaton men doobne se baaz raho, -
Tu kahe mujhse haal-e-dil aur mera inkaar ho, -
Yeh Naobat na aaye issliye meri baat maan, -
Chhod de peechha mera ki tu ab khwar na ho. -