TUMHARE YAD AATE HAI
mujhy jab log kehtay hain.
mohabbat kaisai hote hai.?
mujhy jab chand kehta hai.
yeh chahat kaisi hote hai?
nahi un say kuch keh pata
TUMHARE YAD AATE HAI
main jab bhi mosmon ko dekhnay baghon main jata hon
kalli khilti hai baghon main
kaheen koil jo bolay tu
meri uljhan berhate hai
TUMHARE YAAD AATE HAI
yeh akser sochta honmain
keh meri zindgi jab
koi khaami nahi baqee
tu phir kion tum say milnay k bahany dhondta hon main
tu phir kion mujhy ko akser hi
TUMHARE YAAD AATE HAI
Is Hasrat Se Mila Kya Mujhko
Ik Jhalak Mere Dildaar Ki
Is Muhabbat Se Mila Kya Mujhko
Bechaini-O-Beqarari Yaar Ki,
Is Ashiqui Se Mila Kya Mujhko
Ik Sunahari Raah Ishq Ki,
Aur Tere Pyaar Se Mila Kya Mujhko
Ik Raah Jeene Ki Hamvaar Si.
Aik din bahroon k phool murjha jayeenge, jab bhule se kabhi hum yaad aayeenge, ahsas hoga tumhein humari dosti ka jab, duur bahat duur hum tum se chale jayeenge!
Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao
Jis morr pay hum ko chor gaye hum behtay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao
Har lamha teri furqat mein hum taray rahay hum taras rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao
ye bhi aadaab-e-muhabbat hain tumhein kiya maaloom
hum tumhein jeet ke haaray hain tumhein kiya maaloom
aik tum ho kay samajhtay he nahi hum ko kabhii
aik hum hain ke tumharay hain tumhein kiya maaloom...
Kaash hame bhi koi samjhane vaala hota to aaj hum nasamajh naa hote kaash koi prem ki pyali pilane waala hota to aaj hum sharaabi naa hote kaash koi hum par jaan fida karne waala hota to aaj hum kaatil naa hote kaash koi hamare saath ghar basane waala hota to aaj hum beghar naa hote kaash koi hamare saath doosti karna wala hotatoo ajj beghar dooost ka na hota kaash Kuch hamaree bhi maqsad hote too ajj hmm beghar maqsad ka na hota shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai nahi to aaj hum shaayar naa hote