Zindagee ki raahon

Zindagee ki raahon
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
  

Jun, 03 2010     530 chars (4 sms)     2757 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

hum cheen lenge tumse ye shaan-e-beniyazi.

tum mangte phiroge apna guroor humse.
Ab chor chale hum es duniya ko--kabhi jo yaad aye mere tu mat rona

Mere maut ki khabar agar--Mil jaaye tujhay tu mat rona

Mere yaad tumhein sapna ban kar--Tumhein jo tarpaye tu mat rona

Ek khawab samajh kar boljana mujhay--Mere baad MERE LIYE MAT RONA....
Koi Chaand Sitara Hy

Koi Phool Se Pyara Hy

Koi Khushi Ka Ishara Hy

Koi Dil Ka Sahara Hy

Tumhai''n Itna Batana Hy

Wo Naam Tumhara Hy ...
Udass lamhon ka na koi malal rakhna,

Tufan mein bhi wajood Sambhal rakhna,

Kisi k liye shart-e-zindagi tum ho,

Kisi ki khatir hi apna khayal rakhna .!!
suno ....,,,,suno ....,,,,

koi tumhy chahy meri trha.

or phr

koi phr chord de tumhy tumhri trha.
, nahin door mujh se qareeb hai

Mujhe uska gham to naseeb hai, wo agar nahin tu naheeN sahi
Shayad Ye SACH Hy

K Bicharne Se Koi Marta Nhi

Lekin Ek Din

Maine Phool Ki Tehni Ko Juda Kia Tou

Phool Chand Saanio''n Main Murjha Kar Dum Tor Gya

Tab Maine Jana K Agar Jazbe Sache-o-Belaus Hon Tou

Bicherne Se Koi Bhi Marr Sakta Hy. . .
Mehwar-e-Sooch dono ka aik hi hai

Mujhe "Uss" se or ussay "Khud" se Fursar nahi milti
Jin pathron ko ham ne ata ki thee dhrkne,


Unko zuban mili to hamee pe baras parey....
bechainyi hai sansoon me dard utha hai seeney me
bichar ker apne dilbar se aye maza na jeeney me
ayee.......mere dilbar agar tera saath nahi hai to
phir bhala hum kya ker rahain hain is duniya me
kbi moam ban k pigal gaya,

kabi girtay girtay sambhal gay

wo ban k lamha guzar gaya

meray paas se nikal gaya

usay rota b to kis tarah
k wo shakhs itna ajeeb tha
kabi tarap uta meri aah se
kabi ashk se na pighal saka
sar e rah mila wo aga kabi
to nazar chuka k Guzar Gaya
wo utar Gaya meri ankh se
mere dil se Q na utar saka
wo chala Gaya jahan Chor k
main wahan se phir na palat saka,
wo sambhal Gaya tha magar,
main bikhar k phir na simat saka
waqt karta jo wafa ap hamary hoty

hum bhi oroon ki tarha app ko piyary hoty