Ghum unko bhi naseeb hotay hain
Jo log khushnaseeb hotay hain
Hota hai dunya main koi aik hi apna
Warna saray dusray raqeeb hotay hain
Some Hopes: badalna ata nahi humay mosamoon ki tarha
har aik rut may tara intizaar kartay hain
na tum samait sako gay jasay qayamat tak
kasam tumhary tumhay itna pyaar kartay hain
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sakay,
Tere Yaad Mein Rat Bhar So Na Sakay,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,
Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sakay
Kis Baat Ki Sazaa
Wo kis baat ki mujhko sazaa deta hai,
Meri muskurati hui ankhon ko chalka deta hai.
Ek zamane se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne pyaar ko bhula deta hai
ye bhi aadaab-e-muhabbat hain tumhein kiya maaloom
hum tumhein jeet ke haaray hain tumhein kiya maaloom
aik tum ho kay samajhtay he nahi hum ko kabhii
aik hum hain ke tumharay hain tumhein kiya maaloom...
Sirf Dekhke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti
Mulakat Ho Phir Bhi Kabhi Barsaat Nahi Hoti
Janta Hoon Main Kabhi Tumhara Na Ban Paunga
Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti