Meri tanhaion main shareek hu jaoo.

Meri tanhaion main shareek hu jaoo.
Meri tanhaion main shareek hu jaoo.

Suno tum mera naseeb hu jaoo.

NA rahy kisi aur ki arzu mujhe.

JU hu mumkin tum mery itny qareeb ho jaoo..
  

Jun, 01 2010     150 chars (1 sms)     4159 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate,
kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate,
kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate,
aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate.
uski khushi ki khatir main ny kitnay ghum chupaey"MOHSIN".

agar main aik baar rota to uska shehr doob jata..
W0h jisey neend kaha karte hai sab, chain ki neend . .
.
.
W0h tere baad kabhi aankh me utri hi nahi . .
< Pyar kya hai ? >
kisi ko itna chahna k oski har baat manane ko dil kary,
itna chahna kdua osky nam se shoro ho aur osi k nam
par khatm ho,itna aetbar karna k dunia mein koi yaken
ko behka na saky,itna chahna k kisi ki har burai b khubi
lagy,itna chahna kkisi k bin chohye aag si lag jae...
yeh hai pyar..
pyar wo nai jo sirf sath honay par hi zaher ho..
pyar sachy ashiq ki tarap,oski baichaini,
baikrari hai jo sirf apny pyar kliae hai
hamaare paas rahe ya kinara kar jaaye
udaasion ka woh koi to chaara kar jaaye

qateel pi to liya hai khushi se zehr e firaaq
khuda kare ke tabiat gawara kar jaaye
zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.
Mai Aik Phool Hoon

Woh Mujh Ko Rakh

Key Bhool Gaya...

Tamam Umr Ussi

Ki Kitab Mai Guzzri.
dosti yakin pe tiki hoti hai,
ye diwar badi mushkil se khadi hoti hai,
kabhi fursat mile to padhna kitab risto ki,
dosti khoon ke risto se badi hoti hai
Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka
PaTooN Sy BhEr ReHy Thay"HawAooN Ki JhoLi







GiRtay HowY ShAjEr Bhi SaKhi iNtiHa K ThAy!!!
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
ankhon main intzaar k lamhaat soonp ker.
neendain bhi le gaya hai wo apne safer k sath.