Tumhari zulfein tumhari palkein
Tumhari aankhein tumhara chehra
Tumharay shaanay
Surahi daar garden
Kalion mein khanktay kangan
Hinaai haathaon mein unglion
Ki haseen purrain k jin mein
Sandal mehak rahi hai
Yeh naram saanson ki gungunahat
Qadam uthao tu dharkanein sath
Chorti hainbadan ka har zawiya qyamat
Nahi tumhari missal gori
Kamal ho tum kamal gori
Tunicsay sab kuch haseen hai
Lajawab hai par
Meri nahi hai
Tumhara kuch bhi mera nahi ha
Baton Baton main bicharny ka ishara kar k,
Khud b roya bahut wo hum se kinara kar k,
Dekh lete hain chalo hosla apne dil ka,
Kuch roz tere bina guzara kar k
Bohat Khud Per Jabar Ker Ke
Mohabbat Ka Safar Ker Ke
Mita Ker Her Khushi Apni
Osy Pany Ki Chahat Mein
Mohabbat Ki Musafat Mein
Bas Itna Jaan Paye Hain
Mohabbat Mar Deti Hai
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain