Uski yaadon ka silsila hoga

Uski yaadon ka silsila hoga
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay main magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
  

Jun, 03 2010     378 chars (3 sms)     4405 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ya tera zikr kare her shakhs mujh se.

ya koi hum se guftago na kare koi.
bus itna hi kaha tha hum barso k piyasey hain.
honto ko us ne choom kar khamosh kar dya.
DIl Ki Dharkano Ko Ek Lamha Saber Nahi
Shayad K Usko Ab bhi Meri qadar Nahi
Jab Safar Na Tha Hamsafer Tha Wo
Ab Safer Hai to wo hamsafer Nahi
us se duur janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
Ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi
Bhujay bhujay say ajeeb din hain
Khuwab hai na khayal koi
Na mnzaron mein koi kashish hay
Na mosamon mein jamal koi
Hum aik doojay ko apni apni
Adhoori ankhon say dekhtay hain
Hamari barson ki chahaton par
Utar raha hai zaawal koi
Jo hasna chahein tu ashk niklein
Jo rona chahein tu hanstay jaein
Hamary jazbaat girvi rakh kar
Bana raha hai missal koi
Tere hath se mere hath tak
Woh jo hath bhar ka tha fasla
Ussay naptay, Ussay kat'tay
Meri sari Umar guzar gye
Umeedo ki manjil toot gayi
aankho se ashqo ki dhara beh gayi
are tumahri bhi kya izaat reh gayi
jab class ki ladki bhaiya keh gayi
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
tere jalve ab mujhe har soo nazar aanay lagay.

kaash ye bhi ho ke mujh men too nazar aane lage