Bicharne Aur Juda Hony

Bicharne Aur Juda Hony
Bicharne Aur Juda Hony Me Zara Sa Farq Hota Hy
Juda Ho Kr Ksi Se Phr Koi Kbi Nhi Milta
Bichar Jaye''n Tou Milne Ka Koi Imkaan Rehta Hy
Juda Ho Kr Ksi Ki Yaad Dil Me Nhi Reh Skti
Bichar Jaye''n Tou Dil Me Ek Dia Jalta Rehta Hy
Juda Ho Kr Kisi Ka Pyar Dil Me Nhi Reh Skta
Bichar Jaye''n Tou Dil Me Bas Usi Ka Pyar Rehta Hy
Tou Phr Ae! Hum-Sukhan Mere Tu Fesla Sun Le
Mujhe Tum Se
Bicharna Hy Juda Nhi Hona
  

Jun, 01 2010     413 chars (3 sms)     4292 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pura dukh aur adha chand
Hijr ki shab aur aisa chand

Itane ghane badal ke piche
Kitana tanha hoga chand

Meri karawat par jag uthe
Nind ka kitana kachcha chand

Sehara sehara bhatak raha hai
Apane ishq may sachcha chand

Rat ke shayad ek baje hain
Sota hoga mera chand
Dukh Dard me haDukh Dard me hamesha mesha Nikaly Tumhare "KHAT"
Aur Mil gai Khushi tou Ushaly Tumhare "KHAT"

Sab Chooriyan Tumhari Samandr Ko Sonp Diin
Aur Kr Deye Hawa k Havaly Tumhare "KHAT"

Mery Lahoo me Goonj raha he Her ek Lafz
Maine Ragoon k Dasht me Paaly Tumhare "KHAT"

Yun tou hen Beshumar Wafa Ki Nishaniyan
Lekin Har Shaye Se Niraly Tumhare "KHAT"

Parwa nahe Mujhy kisi Chaand Ki Wasi
Tareek zindagi me Hen Ujaly Tumhare "KHAT"
Pal Pal Dhadkane Bekarar,


Na Khud Pe Eitbar Na Dil Pe Ikhtiyar.


Unhi Ko Bhulane Ki Koshish,


Karti Aankhen Unka Intezar;


Aur Kya Kya Dikhaega Pyar?
Ae kalam zara ruk k chal,
kya haseen muqam aya hai,
kuch der thehar ja,
tere nok ke neeche mere dost ka naam aya hai..
Na koi subba na koi sham dety ho

Dil darakne ko muhabat ka nam dety ho

Roz chale atey ho khuwab main mere

In ankhon ko na ik pal tm aram detey ho

Tm na pucho gay kbi mera hal e dil
or

Gairo ko har roz salam dety ho

Hm ne yad rakha is leye mujrim thehre

Shayad bhool jane pe tm inam dety ho..
Lafzoon Ki Haira Pehri Main Kuch Faida Nahi
Jab Dil He Rayga Hai To Kuch Rayga Nahi

Kehnay Ko Kitni Batain Hain Karnay K Wastay
Kuch Lafaz Ki Kami Hai Kuch Hoosla Nahi

Dayta Hai Baat Kar Kay Kuch is Tarhaan Zakham
Jaysay is Maseha Ka Koyee Chara Gar Nahi
Bettha Hai Aab Woh Mujh Say Baat Karnay Ko...
Jab In Tamam Batoon Ka Koyee Faida Nahi
Jis pal aap dil se muskuraoge,

Apni hasi mein hamari jhalak paoge.

Na samajna ke saath chhod diya hamne,

Palat kar dekhoge to har raah par hame paoge.
Meri tanhaion main shareek hu jaoo.

Suno tum mera naseeb hu jaoo.

NA rahy kisi aur ki arzu mujhe.

JU hu mumkin tum mery itny qareeb ho jaoo..
Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash...
meri gurbat ne uraya hay mere fun ka mazaq.

teri dolat ne tere aeb chupa rakhay hain...
yun miley k mulaqat ho na saki

hont kanpe par baat ho na saki

meri har nigah dastan keh gayi

unko shikayat rahi ki baat ho na saki
dil bhi koi aasaib ki nagri hai kay mohsin...

jo is say nikal jatey hein mur kar nahi aatay!!