mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..
mujhe ye gham nahi wo mujhse rotha hai wasi..

gham to bus ye he k ab uska khayal kon rakhay ga...
  

May, 28 2010     104 chars (1 sms)     3727 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi daman kabhi palkain bhigona KIS ko kehtay hain,

Kisi mazlom se pocho k "RONA" kis ko kahtay hain,

Kabhi meri jaga khud ko rakho phir "JAAN" jao gay,

K duniya bhar k dukh dil main "SIMONA" kis ko kahtay hain,

Meri ankhen meray charay ko ik din "GHOR" se dekho,

Magar mat puchna "WERAN" hona kis ko kahtay hain,

Tumhara dil kabhi piglay agar "GHUM" ki hararat se,

Tumhain malum ho jae ga k "KHONA"kis ko kehtay hain.
mery kufr-e-mohabat pay na kar tanqeed ay saaqi..

koi to bat dekhi thi,k sajda kar liya hum ne...
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "KaMaL" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye
Adhi raat k sannatey mai
kis ne phone kia hy mujh ko
phone utha k youn lagta hy

us janib koi gumsum gumsum ukhra
ukhra dheerey dheery kanp raha hy
mehki hui si ik khamoshi hy
ghup khamoshi

lekin us khamoshi mai bhi goonj rahy hyn
thandi sansen barish ansoo..
khamoshi se thak kr us ne sans lia to
choori khanki...

uff ye khaan khaan sarey badan mai phail gyi hy
tery ilawa koi nahi hy
lekin itney barson baad .... ?
SHKAYAT HAI YEH MERI KISMAT SE MUJHKO ..

MILAYA HI KYUN JAB BICHARNA THA TUJHKO ...

JOH ISMEH NAH SAMAJH SAKAY AZAKE KOI TUJH KO...

IS PATHAR KI DUNIYAAN SE NAFRAT HAI MUJHKO ...
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib,
Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,

Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
December Ki Udass rutt
lout ayi hay nami ankhon mein liye
aur keh rahi hay mujhe
k tere waste ab ki baar bhi
mere daman mein sirf tanhayi hay!!!
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say

Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Janta Hoon Jisay Zamany Say

Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say

Jab Say Apnoo Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say

Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batein Hain Bas Fasanay Say “
mujhe maloom tu nahi mere sajdon ki tadad.

han yeh hai k main her sajde main roya hun.
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,

tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hy
Jugnu ko qaid kar ke muskraya na karu,Roshni ke khatir kisi ka dil jalaya na karu,Dil pe sitam itna na karu,Yaad nahi karte tu yaad aaya na karo.