Hum aksar ye samajhtay hain
Jisay hum pyar kertay hain
Usay hum bhool bathay hain
Mager aisa nahi hota
mohabbat daimi such hay
mohabbat tehar jati hay
Hamari baat k ander
Mohabbat baith jati hay
Hamari zaat k ander
Mager ye kam nahi hoti
Kisi bhi dukh ki surat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki surat mein
Hamari aankh k ander
Kabhi ab-e-rawan ban ker
Kabhi qatray ki surat mein
Bazahir aisa lagta hay
usse hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye hargiz kam nahi hoti...