Har ek lamhe ka hisaab liya

Har ek lamhe ka hisaab liya
Har ek lamhe ka hisaab liya,

zindagi ko yun benaqaab kiya.

tanha-tanha jo pal guzare they,

teri yaadon se unhe phir aabad kiya.
  

Jun, 02 2010     136 chars (1 sms)     3415 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Teri yadoon ki mehak
Sath liye akser hum
Door khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain
Kyun k main janta hon
Hum aur tum
Sirf khuwaboo main he mil saktey hain
Mainay socha hai is baar tumharay humraah
Aik aisi jaga utroonga
Aur tumhain apnay paas bitha ker
Aankho main aakhain daal ker
Bari himmat ker k tum say keh donga
Tumsay keh donga k tum meri ho
Tum jo chahho to
Meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do
Zindagi yun to bohut thori hai muhabbat k liye
Tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do
Kuch to bolo
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
Bus yehi chund khiyalaat liye
Teri yadoon ki mehak sath liye
Akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian
Kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain
Usay mere marny
ki khabar na dena
<==MOHSIN==>

k agar wo ro para
to ye dil
phir se Dhark uthay ga.
Wo Meri Pehli Mohabbat, Wo Meri Pehli Shikast..
Phir To Paimaan-e-Wafa Sau Martaba Main Ne Kiya!
Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare,

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha,
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare,

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke,
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare,

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dilse,
Jis Kayamat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare,

Jiske Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun,
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare...
dil ko behlany ki batain meray qasid na karo.

saaf keh do vohi inkar hua chahta hai.
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
MUJHE


FARAIB NA MILTA


AGAR SITARON SE!!!


MAIN ASMAAN K


AANGAN MEIN


GHAR BANA LAITA
itna aasan nahe hai shaher-e-muhabbat ka pata"guriya"

khud bhataktay phirtay hai yahan raah bataney walay...
kitne parvane jale raaz ye pane ke liye
Shamma jalne ke liye hai ya jalane ke liye?

Ronewale tujhe rone ka saliqa bhi nahi
ashq pine ke liye hai ya bahane ke liye?

Aaj kah dunga shab-e-gum ki shararat unse
roz aa jati hai kambaqt satane ke liye

humko maloom tha aap ayenge mere ghar lekin
khud chala aya hoon yaad dilaneke liye .!
Aisay Ghar mein Reh raha hon Daikh lay Be-Shak Koi.. . .


Jis k Darwazay ki Qismat mein Nahi Dastak Teri.
Wo Dil Dil Nahi Hota Jis Mein Pyar Nahi Hota
Wo Pyar Pyar Nahi Hota Jo Chahat Mein Beqarar Nahi Hota

Thora Tarapna Thora Machalna Tou Hai Mohabbat Ki Ada
Jo In Raahon Se Na Guzre Wo Yaar Yaar Nahi Hota
kitni mushkil se muhabat ka hova hai aaghaaz...

kerwatein leti hai kiun khwahis-e-anjaam abhi...!!