Uss Se Kaho Ek Baar Aur

Uss Se Kaho Ek Baar Aur
Uss Se Kaho Ek Baar Aur Dekh Ke Azaad Kar De Mujhe

K Mein Aaj Bhi Uss Ki Pehli Nazar Ki Qaid Mein Hoon
  

May, 28 2010     106 chars (1 sms)     2637 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

meri nazmain, meri duniya
zindgi jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri

meray misray aankhon jaise
gheray gheray
meri nazmain zulfoon jaise
uljhi uljhi, bikhri bikhri

meri muhabat meray jaise
pakiza si , nikhri nikhri
teri muhabat teray jaisi
uljhi uljhi , bikhri bikhri
dard meetha ho to ruk k kasaq hoti hai"mir"

yaad gahri ho to tham tham k qaraar aata hai.
Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
Tere Awaz Se Awaz Mila Li Jaye

Shayed Is Tarha Mere Aah Na Khali Jaye

Mausam e Gul Hai , Andhera Hai , Akaila Pan Ha

Apnay Maazi Se Koi Yaad Nikaali Jaaye

Uski Jaanib Se Likhain Khud Ko Muhabat nama

Us Se Milti Hui Tehreer Bana Li Jaaye


Din To Hi jaaye Ga Waqfay yGhamay Dunya Riffat

Uski Yaadon k Liye Raat Bacha lee Jaye
phir yahan kya maray hone ka jawaz!!!!

gahr nahein koi muntazir mera,,,,
Suno
Hum toot jaein gay
K doori she na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Yeh aankhein bojhal hain
Inhein kis tarha behlaein
Suno!
Hum so na pein gay
Kabhi khush ho na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Ye dil tumhara hai
Na tum bhi ab guzara hai
Suno
Kuch waqt do hum ko
Bana lein dost iss ghum ko
Humein maloom hai aakhir
Judai maar dalay gee
Gumrah howa wo shaks raah dikhanay wala,
Raah bhola koi ghar ko janay wala
.
Jis yaad main Bilal hum roey bohot thy,
Aaj roya Bohot Mujh ko Rolanay wala
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kase
apni barson ki trp chpaon kase
raha na ja tujh tere bin ab
main apne dill ko somajhu kase
apna ''jism''mat tarash,isay mitti men hi jana hai,

apni''rooh''ko tarash ae ibn-e-aadam,isay ALLAH k pass jana hai...
Vo khush hue jab hum dil se roye,
Raat bhar jage to vo chain se soye,
Unhe de di humne phoolo ki sajja,
Aur sare katein apne path par boye
Tu Chaley Saath Tou
Aahat Bhi Na Aaye Apni

Darmiyan Hum Bhi Na Hon
Yun Tujhy Chahei''n Tanha ...