ye dil ka parinda bhi

ye dil ka parinda bhi
ye dil ka parinda bhi ajab shey he keh jisne,

Pyasa bhi raha dasht se hijrat bhi nahen ki.
  

May, 28 2010     93 chars (1 sms)     4819 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

para na farq anokhi zuban likhne se.

zamen zamen he rhi asman likhne se.

rha jis se taluq her ghari mera.

wo ban saka na meri jan,jan likhne se.

panah mil na saki ek pal kabhi mjko.

kisi ujari jaga ko makan likhne se.

kari tapish se jhulsta raha badan mera.

k dhup dhup hi rahi sayeban likhne se.
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e dosti se mujhe...
Wo K Her Eahd-E-Wafa Se Mukarta Jaye
Dil WO Zalim K Usi Shaks Pe Merta Jaye
Mere Pehlu Mein Wo Aye To B Khushbu Ki Tarah
Mein Usey Jitna Sameton Wo Bikherta Jaye
Khulta Hy Kisi Pe Kin Mere Dil Ka Ma''amla

Shero''n K Intikhaab Ne Ruswaa Kia Mujhe
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan , , ,


Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshan , , ,


Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main , , ,


Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan . . .
Kabhi Tmhara Dil Udaas Ho
Qayas Krna k Pass Main Hoon

Kbhi Kisi Ki Kami Lage Tou
Qayas Krna k Pass Main Hoon

Tmhare Apne Jo Duur
Bethe Tmhari Nazrai''n
Utarte Hyn

Jo Tum Na Un Ko
Qareeb Pao Tou
Qayas Krna k Pass Main Hoon

Ye Mera Wada Bhi Yaad Rkhna
k Main Na Tum Ko Bhula
Sakonga

Jo Tum Bhi Mujh ko Bhula Na Pao
Tou Qayas Krna k Pass Main Hoon
Main Usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis Ka Hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say Zamana Jalta Hai.
KABHI SHABNAM TO KABHI SHABAB LAGTI HAI
TERI HANSI EK KHILTA GULAB LAGTI HAI
MAI PIYUN YA NA SAHI
LADKHADA KAR CHALTA HOON
KYONKI TERI GALI KI HAWA BHI
AB SHARAB LAGTI HAI................
Aise chup chaap hi mar jate hain

kuch log yahan

jism ki thandi si tareek sayaah Qabr k ander

na kisi saans ki awaaz

or na siski koi

na koi aah na jumbish

na hi aahat koi

aise chup chaap hi mar jaate hain

kuch log yahan

in ko dafnaane ki zahmat b uthaana nahi parti
Anjaam-e-Judaa¡ se Mujhy darr Nah¡ Lagta

"jAAnA"
jo Rooh ka h¡ssa hoty ha¡ñ Zindag¡ Bhar sath Rehty hain
rafta rafta bujh gya aakhir chragh-e-arzu,,,

pehlay dil khamosh tha ab zindagi khamosh hy,,,,