Masoom mohbbat ka itna sa fasana ha kaghaz ki hawely ha aur barish ko bhi ana ha kya shrty muhbbat ha kya sharty zamana ha awaz bhe zakhme ha aur geet bhe gana ha ye ISHAQ nahe aasaan bus itna samajh lejye ik agg ka darya ha aur doob k jana ha..
Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
Jiski jhankar mai dil ka aram tha wo tera naam tha...
Mere honto pe raqsan o ek nam tha wo tera naam tha...
Mujh se mansoob thee dastane kaee,
khubsurat magr jo ilzam tha wo tera naam tha...
Subha se sham tak jo meray pas thi wo teri aas thi,
sham k baad jo lab-e-bam tha wo tera naam tha....