mujhy uss jagah se

mujhy uss jagah se
mujhy uss jagah se bhi muhabat ho jati hai mohsin.

jahan baith kar aik baar tujhy sooch leta hoon..
  

May, 28 2010     102 chars (1 sms)     2547 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
udasion mein jeena adat ban gai hai.

jin se umeed thi yad rakhne ki wohi bhool gaey
Roz Yeh Khayaal Aata Hai Zahan

Me Kal Zindagi Kis Raah Par Hogi
Har Din Isi Soch Mein

Guzarta Hain Ab Aur Kitno Se Mulaaqat Hogi
wo tujhko bhooly hen to tujh pe b laazm hy ae meer,

khaak daal,aag lga,naam na ly,yaad na kar...
Kis Qadar Anokha Hy
Zaabta Mohabbat Ka

Kab Na Jaany Ho Jaye
Mo''ajza Mohabbat Ka

Apni Zaat Se Bhi Wo
Ajnabi Sa Lgta Hy

Jis K Saath Ho Jaye
Haadsa Mohabbat Ka
dil hai to usee kaa hai, jigar hai to usee kaa.
apne ko rah-e-ishaq mein barbaad jo kar de.
guzar rahi ha kuch es tarah zindagi jasay........esay kisi ke sahaaray ki aarzoo nahi
Dosti ka rishta purana nahi hota,
Iss se bada koi khazana nahi hota,
Dosti pyaar se bhi pyari hai,
Kyun ki iss mein koi DOST pagal ya deewana nahi hota.
Saza khoob mili mujhe tujhse dil LAGANE ki
Lag gaye pyaar ko mere nazar ZAMANE ki
Nikle kar kehne lage dono haath KABR se
Hamein to reh gaye tamanna tujhe gale LAGANE ki
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor
Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya to kia qasoor
Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor
Dil me thi uski tasweer
Dikha na paya to kia qasoor
Dil ko jala deeny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor…?
Main kitna intezar karoon...
Jab se tum ne milna chor diya he...
Khushbu ne bikharna chor diya he
Phoolon ne mehakna chor diya he...
Chiryun ne chehakna chor diya he...
Chan ne chamakna chor diya he...
Aur dil ne b darakna chor diya he...
Savan jane ko he...
Bahar aane ko he...
Phool khilne ko hain...
Sab dost milne ko hain...
Ab to aa jao...
PLZ...
Main bahut intezar karta hon...
Hadse banke log yahaan mila karte hai
zakhm dene ke hi saaman diya karte hai
roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..