Itna roya hoon k ab

Itna roya hoon k ab
Itna roya hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
  

Jun, 03 2010     287 chars (2 sms)     5357 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

main tu jala na saka en tohfon ko tumhe bahj raha hun..

tum jala sakte ho en ko kayonk tum tu pathar dil ho..
janay kis liay pal main,
log bhool jatay hain!!
zindagi ki yadoon ko,
bay shumar wadoon ko,
khushguwaar batoon ko,
sath guzri shamoon ko,
an ginat iradoon ko,
Janay kis tarah pal main
log bhool jatay hain!!
pyar ki haqeeqat ko,
umar bhar ki chahat ko,
rishtoon ki nazakat ko,
jazaboon ki sadaat ko,
lams ki hararat ko,
dil sye dil ki rahat ko,
KAISAY BHOOL JATAY HAIN?
KAISAY BHOOL JATAY HAIN??
wo khaak hum hain faraz jiska arsh pe hai muqaam.
chaman k phool nahi hain keh hum bikher jayein.
Lab Pe Aati Hai Dua Ban K Tamana Meri
Dil Karta Hai SIM Band Karwa Doon Teri
Ho Mere Dam Se Har Jaga Ujala Ho Jaye
Jo Mujhe Sms Na Kare Us Ka Rang Kala Hojaye
main ab waisa hon jesa tum mujhe chor gey thy"dost"

bus kuch ankhin zard hogai hain tery any ki aas main.
Rakhty Hain Jo Oroon K Liyeh Pyar Ka Jazba





Woh Log Toot Ker Kabhi Bikhra Nahi Kerty
hay baad-e-marg bhi yaaro wohi tafreeq ka aalam...

na qabrein aik jaisi hain,na katbay aik jaisay hain...!
Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat,
Jaisay Aadha chand,
Jaisay bin sooraj kiran,
Jaisay bin badal barsaat,
Jaisay jungal mein tanha hiran,
Jaisay be Aawaz koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra hoa paani,
Jaisay bin paani machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay bikhari zulfein,
Jaisay dolhay bin baraat,

Aisay hi tum bin main,


Aur mera yeh Adhora PaN
kabhi utro yun mera dil k kachay angan main...

kisis udas musam main,kisi veran lamhay main

chupkey se.dabey payon,meri ankhon par rakh do hath apne,

aur hansat howa keh do

bojh lo tu "HUM" tumhare
na booojho tu "TUM" humare
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
Zindagi ne sikhaya hamein
kisi par ummid nahi rakhna,
par rakhna aitbaar har kisi pe,

Zindagi ne sikhaya hamein
agar tum khudko chahoge
to har koi achha lagega,

zindagi ne sikhaya hamein
tumko bura nahi lagega,
agar dekhoge samne wale ki nazar se,
kuch batein an-kahi si rehne do,
kuch batein un-suni si rehne do,
sub batein agar keh dain dil ki,
sub batein agar sun lain is ki,
to phir kiya reh jaye ga,
aik ojhal beqali si rehne do,
aik rangeen un-bani si duniya main,
aik khirki un-khuli si rehne do...