Ae chand apni chandni

Ae chand apni chandni
Ae chand apni chandni un per nichawar krna

unhain apni aagosh mein lena

unhain pyar se thapki dena

or kehna

"UNHAIN KOI YAD KRTA HA"

Ae barish apne nanhe qatron se

un k chehre ko bigho dena un k

galon ko chom lena un k

hathon pe bosa dena or kehna

"UNHAIN KOI YAD KRTA HAI"

Ae pholo apni khusbo se un k

angan ko mehka dena un k

ghar ko moatar rakhna apni

pattian un pe bikhra dena unhain

halka sa jagana or kehna

"UNHAIN KOI YAD KRTA HA.
  

Jun, 07 2010     483 chars (4 sms)     4212 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
Akser ye sochte hein akeyle mein beth kar,,

jab tum the mere sath who lamhe kidhar gaye.
Arman mere reza reza ho gaye hain,
Yun dil k aangan se giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht me koi kya bujhae ga,
Dil is tarah se aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarah ulfat me zakhm khaya hai kisi ne,
Sangdil tha jo aaj wo b ro para,
Usko b tarpaya hai kisi ne.../
Na lena naam ay qasid faqat itna hee keh dena
Jinhein tum bhool bethay ho wo aksar yaad kartay hain
Baharain phool barsati hain KHUSHI ke mosam me
Khushboo phelati hy chaman me is mosam me
Sanam miltay hain prem hota hy ummang se
Yeh basant ki bahar hy dil per is mosam me
Zehar daitay hain aur kahtay hain k lena ho ga,
jab main le loon to kehtay hain k peena ho ga!
jab main pee loon to kehtay hain martay kiun nahi?
jab main mar jaon to kehtay hain jeena hoo ga!
dis shair is nt mine
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,, Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,, Koi hum ko yaad kare ya na kare,, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari...
Aansoun ki likhawat ko tum parh na sako ge

Geeley kagaz pe tum kuch likh na sako ge

Yaad aayen gi tum ko hamari baten

Kho kar jab tum hamen pa na sako ge...
Dooriyan buhat hain par itna samajh lo

Pass reh kar bhe koi rishta khaas nahin hota

Tum dil ke pass itnay ho ke

Doorion ka ahsaas nahin hota
jo banta raha humri nayoton ko jaan kar bhi rahmtain.

aaj hum ne hi us khuda ko ferqoon main baant daya.
apney dil kee veeraniya mujhey hasatee hain,
kya kahoon k apni hee nadaniyan mujhe hasatee hai,

jab teree yaar boht aati hai to na pooch aye dost,
phir yun hota hai k pareshaniyan mujhe hasatee hain
uski qurbat main hai kia baat na jane ay mohsin.

ek lamhy k liye sadyon ko bhula deta hai..