sub se yun milna k jesay

sub se yun milna k jesay
sub se yun milna k jesay dil main koi dukh na ho,
mujh main ye khoobi hai sub khaamyon k bawajood
  

Jun, 02 2010     99 chars (1 sms)     2495 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meri baylous mohabbat ne duboya hai mujhe
Itna mukhlis houn ke her dil main uter jaata houn
Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna
Bohut Aasaan Nahin Hota, Judai Mangte Rehna

Zara Sa Ishq Karlena, Zara Si Aankh Bhar Lena
Phir Is K Baab Main Sari Khudaai Mangte Rehna

Kabhi Mehroom Honton Pe Dua Ka Hurf Rakh Dena
Kabhi Wehshat Main Us Ki Narsai Mangte Rehna

Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Roth Jati Hai
Kahani Main Zara Si Bewafai Mangte Rehna

Ajab Hai Wehshate Jan Bhi K Aadat Hogai Dil Ko
Sakot-E-Sham-E-Gham Se Ham Nawaai Mangte Rehna

Kabhi Bache Ka Nannhe Hath Pe Titli K Per Rakhna
Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna
jab uska dard mere saat wafa karta hay,
Ek samandar sa meri ankhon se baha karta hay.
uski batein muj ko khushbo ki tarah lagti hay,
phool jaise koi sehra may khilla karta hay.......
Kisi se bat karna bolna acha nahin lagta,

Tujhey dekha jabse dosra acha nahin lagta,

Terey barey main sochta rehta hun,

Par tere bare main kisi se bolna acha nahin lagta..
Milta Tha Mujh S Wo Kabhi Pal Pal K Farq Se
Phir Rafta Rafta Faq Ye Saalo’n Main Aa Gaya
Phir Yun Hua Aankh Se Aansoo Nikal Paray
Chehra Kabhi Jo Us Ka Khyalo’n Main Aa Gaya
Toot Ker Zara Dekhoo
Tum agar Bikher Jao
bebasi Mein Ghir Jao
Dil Se Ik Sada Dena
Bas Mujhe Bhula Dena
Mein Tumhein Sanbhal Longa
Zindagi Mein Chalne Ka
Rasta Badalny Ka
Ek Hunar Sikha Doonga
Tumko Hosla Donga
Aur Jab Tum Sanbhal Jao
Roshni Mein Dhal Jao
Mujhko Youn Sila Dena
Tum Mujhe Bhula Dena...
Woh Ek Hi Nazar Ki Junbash Sey Sub Dil Ki Bastti Loot Gia
Woh Jis Sey Ankhiay Char Hoin Aur Hath Sey Saghar Choot Gia

Dil Us Ka Bhi Hey Aur Mera Bhi Farq Sirf Itna Hai Sahar
Woh Pathar Tha Jo Dabit Raha Aur Yeh Shesha Tha Jo Toot Gia
Na Poocho Mein Tumhare Baghair Kyn Nhi Roya
Waja Thi Yh Log
Agar Mein Rota To Inhon Ne Kehna Tha

"Tum Ne Us Ki Yaad Pr Pani Phair Diya"
anmol thay,yousuf ki tarah ghar say chaley thay


hum shehar k bazar mein bedaam bikey hein


jis daur ki taqdees ka purchar hai TABISH

us daur mein har gaam pe gulfam bikey hein
Ye Meri Wafa Ki Hyn
Wehshatai''n Mujhy
Ikhtiar-e-Junoon Nhi

Jahan Naam Hum Ny
Suna Tera Wahii''n Sir
Ko Apne Jhuka Dia ... !!
pahly pahal usy logon main mahboob bulana.
amir
jub wo tara na hua tu use logon main badnaam krna..

afsoos...
Kahan Say Laoun Hunar Ab osy Manany Ka,
Koi Jawaz Nahi Us K Roth Jany Ka,
Mohabbaton Main Saza Bhi Mujhhe Ko Milne The,
K Jurm Mainy Keya Rabty Barhany Ka,