Musam jitne rothey

Musam jitne rothey
Musam jitne rothey ty sub lot aye
usay kaho ik umer hoi hai ab lot aye
main ne to us ko itni mohlat di ti sagar
k jub woh tanha reh jaye tb lot aye
  

Jun, 02 2010     151 chars (1 sms)     2577 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Mera Ho Jo Nigaho''n Main Haya Rakhta Ho

Umar Bhar Saath Chale Azm-e-Wafa Rakhta Ho

Naz Us K Na Uthao''n Tou Shikayat Na Kare

Gham Utha K Bhi Wo Hansne Ki Ada Rakhta Ho
tum say kahnay kay liaay bay-qarar hain hum
such tumharay hi talab-gaar hain hum

waqat milay to kabhi mil ker dekhiay
such baray hi milansar hain hum

sath wafa say nibhaay gay hum
such baray wafa-daar hain hum
Kal jo hume hassen or sub se payra lagta.

aaj wo hi qatil-e-jaan sub se bura laga.
Unsay dur janay ka irada na thaHamesha sath rahnay ka b vada na thaWoh yad na karein ge ye jantey thay hmPer itni jaldi bhool jaen gay andaza na tha.
Roti Hoi Aankhon Se Tujhe Muskan Kese Doon

Anjaan Hoon Khud Se Tujhe Pechaan Kese Doon

Tu Hi To He Jan Meri...

Tu He Bata Tujhe Apni Jaan Kese Doon . . . ;->
Aaj us ne Meri Mohabbat main Kisi ko Shareek kia to Ehsas hoa
...........Ya Rab.............
K tu Shirk krnay walon ko Muaaf ku nahi krta
Wo kehta tha tere jism ka saaya hoon fArAz...

Shayad issi liye andheron mein saath chhor gya...
Ek Lamha Lagta Hai

Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
Ek lamhe mai uss ne zindagi ujaar di,Ek lamhe mai uss ne zindagi sanwaar di,Qasoor uss ka nahi mera tha jo in hi dou lamhoun mai zindagi guzaar di.
Samny Koi Rasta Bhi Nahi
Mera Khud Se Rabta Bhi Nahi

Yaad Rakhna Bhi Ik Azab Hua
Bhol Jany Ka Hosla Bhi Nahi

Ik Din Wo Mujhe Bulaye Ga
Kia Yaqeen Hai Jo Toot_Ta Bhi Nahi

Waswasey Dil Ko Kion Sataty Hain
Wo Abhi To Wo Bewafa Bhi Nahi

Lamha Lamha Tumhare Naam Kia
Aur Kuch Mere Paas Tha Bhi Nahi
Aansoun ki likhawat ko tum parh na sako ge

Geeley kagaz pe tum kuch likh na sako ge

Yaad aayen gi tum ko hamari baten

Kho kar jab tum hamen pa na sako ge...
Jab kabhi dil bohat udaas ho

jab kabhi khud say bohat c batain kerna chahun

lafz kho jatay hain...

sapaid-e-sahar say pehle

ya shab k kisi udaas lamhay main

jab ankhon say ansu rawan hotay hain

shab k maheeb sanatay ko

kabhi jab torna chahun

kabhi jab bolna chahun

lafz khO jatay hain

main nay ye aksar dekha hai

jab kabhi dil mayoos ho chuka ho

aur tum chupkay say aa jao

ya jab kabhi tume alwida kehna ho

To Lafz kHo jatay hain.