Muddat se door the

Muddat se door the
Muddat se door the hum tum,

ek zamane ke baad milna acha laga.
sagar se gehra laga aapka pyar,

tairna to aata tha par doobna acha laga...
  

Jun, 07 2010     145 chars (1 sms)     2519 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Anmol Ankhon Mein Jo Tahreerain thi

Honton Pe Wo Bol Na Thay

Hum Thay Uss K Payar K Aashiq

Bas Hathon Mein Kashkol Na Thay

Hum Ne Usko Toot K Chaha

Ye Uss Ka Haq Tha

Lakin

Wo B Hum Ko Toot K Chahe

Hum Itne Anmol Na Thay...!
Deewane hai tere naam ke is baat se inkar nahi,
Kaise kahe ki Hume aapse pyar nahi,
Kuch to kasoor hai aapki adao ka,
Hum akele to gunhegar nahi...
mout per bhi yaqain aap par bhi etbaar hai.
dakhain pahle kon ata hai donon ka intzaar hai.
wafa ishk ki mohtaaj nahi hoti,
har gham k peeche judaai ki baaraat nahi hoti,
yaha hoth nahi nam aankho me mohabbat ka afsaana hai,
jo kahi jaa sake wahi hap dam baat nahi hoti........
Nazar andaz kaisay karein apko
Naron mein bithaya hai apko
Yad anay par royin bhi tu kaisay
Bartay hein jhukee jo palkein tu chubhein gee apko
na janay konsa jazba tha jis ne khud hi...
meri hi zaat ka dushman bana diya mujko...
Mujhe tumse mohabbat ho gayi he

Yeh duniya khobsorat ho gayi he

Khuda se roz tumko mangta hun

Meri chahat ibadat ho gayi hai.
wafa nibhany ki
jo Qeemat
mujy ada karna pari hai
us sy mujy
aisa lagta hai
jasy
mera wajooooooooood
kisi haqeer tinky ki tarah
ider uder
hawa ma
bikhar raha hai………!
Achhi lagi Tumhari baate,
jo chupke se kuchh keh gaye,
TUM to samaye ho mere sanso me,
Ninde bhi uda rahe ho meri palko se,
TUM to jaan ho mere DIL ki,
Arman ho mere zindagi ki,
jo mehsoos kar raha hun me sadiyon se,
Tumse tumhi ko chura raha hun me chupke se..
Dil ne jab bhii fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai


Yeh bhii khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein jo khoya paaya hai


Tum numaaish liye ho daagon kii
Hamne zakhmon ko bhii chuppaayaa hai


Koii marta nahin kisi ke liye
Hamne duniya ko aazmaayaa hai


Waqt-e-hizraan ya vasl ho ''barham''
Hamne dono mein tujhko paaya hai.../
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya

Main ho gardishon ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya

Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya

Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya

Yeh udasiyoon ka jamal hai ke tumhara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
Wo jo phool thay tere chah ke unko mosamoo ne gira diya
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?